mohabbat ka talatum-KHez tufan dil se uThta hai
mohabbat ka talatum-KHez tufan dil se uThta hai
Talat Siddiqi Nahtori
MORE BYTalat Siddiqi Nahtori
mohabbat kā talātum-ḳhez tūfāñ dil se uThtā hai
ye vo sailāb hai jo sīna-e-sāhil se uThtā hai
vufūr-e-shauq-e-dīd-o-jazba-e-kāmil se uThtā hai
naqāb uThtā to hai lekin baḌī mushkil se uThtā hai
koī jab bā-dil-e-nāḳhvāsta mahfil se uThtā hai
qadam uThtā to hai us kā magar mushkil se uThtā hai
bhaTaktā hai koī gum-karda-manzil raah meñ shāyad
ġhubār us kā abhī tak jāda-e-manzil se uThtā hai
dam-e-nazzāra gir jaatā hai majnūñ kī nigāhoñ par
vahī parda jo lailā ke dar-e-mahmil se uThtā hai
jalātī sham.a hai yā aap jal jaatā hai parvāna
bahar-sūrat ye fitna aap kī mahfil se uThtā hai
kaleje meñ kabhī jab ātish-e-ulfat sulagtī hai
jigar se kuchh dhuāñ uThtā hai sho.ala dil se uThtā hai
kaho bād-e-muḳhālif se batā do mauj-e-tūfāñ ko
mirī kashtī kā langar dāman-e-sāhil se uThtā hai
tasavvur meñ nazar aatā hai jalva be-naqāb un kā
jab āñkheñ band hotī haiñ to parda dil se uThtā hai
ubharnā hai to yād-e-talḳhī-e-māzī se kyā hāsil
jab uThtā hai koī ummīd-e-mustaqbil se uThtā hai
farishte aaj tak hairān haiñ insāñ kī himmat par
ye bār-e-ishq ai 'tal.at' baḌī mushkil se uThtā hai
mohabbat ka talatum-KHez tufan dil se uThta hai
ye wo sailab hai jo sina-e-sahil se uThta hai
wufur-e-shauq-e-did-o-jazba-e-kaamil se uThta hai
naqab uThta to hai lekin baDi mushkil se uThta hai
koi jab ba-dil-e-naKHwasta mahfil se uThta hai
qadam uThta to hai us ka magar mushkil se uThta hai
bhaTakta hai koi gum-karda-manzil rah mein shayad
ghubar us ka abhi tak jada-e-manzil se uThta hai
dam-e-nazzara gir jata hai majnun ki nigahon par
wahi parda jo laila ke dar-e-mahmil se uThta hai
jalati shama hai ya aap jal jata hai parwana
bahar-surat ye fitna aap ki mahfil se uThta hai
kaleje mein kabhi jab aatish-e-ulfat sulagti hai
jigar se kuchh dhuan uThta hai shoala dil se uThta hai
kaho baad-e-muKHalif se bata do mauj-e-tufan ko
meri kashti ka langar daman-e-sahil se uThta hai
tasawwur mein nazar aata hai jalwa be-naqab un ka
jab aankhen band hoti hain to parda dil se uThta hai
ubharna hai to yaad-e-talKHi-e-mazi se kya hasil
jab uThta hai koi ummid-e-mustaqbil se uThta hai
farishte aaj tak hairan hain insan ki himmat par
ye bar-e-ishq ai 'talat' baDi mushkil se uThta hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.