mohabbat kam-nigahon ko nazar mein la nahin sakti
mohabbat kam-nigāhoñ ko nazar meñ lā nahīñ saktī
ye bijlī har ḳhas-o-ḳhāshāk se Takrā nahīñ saktī
jo kahnā hai kaho haq par kabhī aañch aa nahīñ saktī
koī tāqat ḳhulūs-e-fikr ko jhuTlā nahīñ saktī
girā kar arsh se bhī husn-e-be-parvā ne dekhā hai
koī aalam ho merī ādamiyyat jā nahīñ saktī
matānat aa chukī hai un ke lahje un kī bātoñ meñ
vo chāheñ laakh chehre par matānat aa nahīñ saktī
na samjho dost kī had tak kamāl apnī mohabbat kā
abhī nāqis hai dushman ko agar taḌpā nahīñ saktī
girā huuñ rabb-e-qibla jab bhī Thokar maiñ ne khaa.ī hai
mirī ḳhuddārī aisī vaisī Thokar khā nahīñ saktī
kabhī tīr-e-nigāh-e-nāz ḳhālī jā nahīñ saktā
koī nekī bhī aise vaqt aaḌe aa nahīñ saktī
nasheman merā rahne do chaman par aañch gar aa.ī
nasheman hī pe aa.egī chaman par aa nahīñ saktī
haqā.eq hī raheñge 'najm' merī fikr kā hāsil
ḳhayāl-o-ḳhvāb meñ fikr-e-suḳhan uljhā nahīñ saktī
mohabbat kam-nigahon ko nazar mein la nahin sakti
ye bijli har KHas-o-KHashak se Takra nahin sakti
jo kahna hai kaho haq par kabhi aanch aa nahin sakti
koi taqat KHulus-e-fikr ko jhuTla nahin sakti
gira kar arsh se bhi husn-e-be-parwa ne dekha hai
koi aalam ho meri aadamiyyat ja nahin sakti
matanat aa chuki hai un ke lahje un ki baaton mein
wo chahen lakh chehre par matanat aa nahin sakti
na samjho dost ki had tak kamal apni mohabbat ka
abhi naqis hai dushman ko agar taDpa nahin sakti
gira hun rabb-e-qibla jab bhi Thokar main ne khai hai
meri KHuddari aisi waisi Thokar kha nahin sakti
kabhi tir-e-nigah-e-naz KHali ja nahin sakta
koi neki bhi aise waqt aaDe aa nahin sakti
nasheman mera rahne do chaman par aanch gar aai
nasheman hi pe aaegi chaman par aa nahin sakti
haqaeq hi rahenge 'najm' meri fikr ka hasil
KHayal-o-KHwab mein fikr-e-suKHan uljha nahin sakti
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.