Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

muddaa-e-asar-e-ulfat-e-pinhan nikla

Nasiri Lakhnavi

muddaa-e-asar-e-ulfat-e-pinhan nikla

Nasiri Lakhnavi

MORE BYNasiri Lakhnavi

    mudda.ā-e-asar-e-ulfat-e-pinhāñ niklā

    le ke hamrāh mirā dil tirā paikāñ niklā

    aaj kis ne ġham-e-duniyā se rihā.ī paa.ī

    kaun kūche se tire chāk-garebāñ niklā

    uTh gayā ḳhair maiñ armān liye duniyā se

    aap ke dil to armān mirī jaañ niklā

    zab.h kar ke mujhe kyā jāniye kyā yaad aaya

    qatl-gah se mirā qātil bhī pashemāñ niklā

    saaf zāhir hai jo hai ḳhāna-e-zanjīr udaas

    mar ke zindāñ se koī be-sar-o-sāmāñ niklā

    daf.atan kar diye saffāk ne lākhoñ TukḌe

    dam bhī niklā mire dil to pareshāñ niklā

    apne kūche meñ jise tum ne kiyā thā pāmāl

    yahī vo dil thā na jis koī armāñ niklā

    'nāsirī' paa.ī na fursat ki ġhazal kahte ḳhuub

    hausla kuchh na sar-e-bazm-e-suḳhan-dāñ niklā

    muddaa-e-asar-e-ulfat-e-pinhan nikla

    le ke hamrah mera dil tera paikan nikla

    aaj kis ne gham-e-duniya se rihai pai

    kaun kuche se tere chaak-gareban nikla

    uTh gaya KHair main arman liye duniya se

    aap ke dil ka to arman meri jaan nikla

    zabh kar ke mujhe kya jaaniye kya yaad aaya

    qatl-gah se mera qatil bhi pasheman nikla

    saf zahir hai jo hai KHana-e-zanjir udas

    mar ke zindan se koi be-sar-o-saman nikla

    dafatan kar diye saffak ne lakhon TukDe

    dam bhi nikla mere dil ka to pareshan nikla

    apne kuche mein jise tum ne kiya tha pamal

    yahi wo dil tha na jis ka koi arman nikla

    'nasiri' pai na fursat ki ghazal kahte KHub

    hausla kuchh na sar-e-bazm-e-suKHan-dan nikla

    Source :
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Rekhta Gujarati Utsav I Vadodara - 5th Jan 25 I Mumbai - 11th Jan 25 I Bhavnagar - 19th Jan 25

    Register for free
    Speak Now