mujhe tha naz ek dil par hua nazr-e-junun wo bhi
mujhe thā naaz ik dil par huā nazr-e-junūñ vo bhī
junūñ kaisā ki husn-e-yār kā thā ik fusūñ vo bhī
mohabbat ko junūñ to ham bhī kahte haiñ magar phir bhī
jise kahte haiñ sab tark-e-mohabbat hai junūñ vo bhī
mohabbat ek sho.ala jis meñ garmī bhī ujālā bhī
jise samjhā thā sāz-e-ishq hai soz-e-darūñ vo bhī
agar jannat faqat āsūdgī kām-o-dahan kī hai
to phir kyoñ merī nazroñ meñ na ho duniyā-e-dūñ vo bhī
tumhārī nazr ke qābil agar kuchh thā to dil merā
magar hai panja-e-ālām meñ said-e-zabūñ vo bhī
rahe duniyā ke tālib tark-e-duniyā kar ke bhī dekhā
tamannāoñ kā ḳhuuñ ye bhī tamannāoñ kā ḳhuuñ vo bhī
dayār-e-ishq meñ ham ḳhāksār achchhe rahe 'jāved'
jo sarkash the yahāñ paa.e ga.e haiñ sar-nigūñ vo bhī
mujhe tha naz ek dil par hua nazr-e-junun wo bhi
junun kaisa ki husn-e-yar ka tha ek fusun wo bhi
mohabbat ko junun to hum bhi kahte hain magar phir bhi
jise kahte hain sab tark-e-mohabbat hai junun wo bhi
mohabbat ek shoala jis mein garmi bhi ujala bhi
jise samjha tha saz-e-ishq hai soz-e-darun wo bhi
agar jannat faqat aasudgi kaam-o-dahan ki hai
to phir kyon meri nazron mein na ho duniya-e-dun wo bhi
tumhaari nazr ke qabil agar kuchh tha to dil mera
magar hai panja-e-alam mein said-e-zabun wo bhi
rahe duniya ke talib tark-e-duniya kar ke bhi dekha
tamannaon ka KHun ye bhi tamannaon ka KHun wo bhi
dayar-e-ishq mein hum KHaksar achchhe rahe 'jawed'
jo sarkash the yahan pae gae hain sar-nigun wo bhi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.