mujhe wafa-dariyon ki aadat kabhi nahin thi
mujhe vafā-dāriyoñ kī aadat kabhī nahīñ thī
mere yahāñ ye ġhalat rivāyat kabhī nahīñ thī
hamāre matlab kī chiiz ik be-badan kī shab thī
hameñ tumhāre badan kī hājat kabhī nahīñ thī
tumhāre hoñToñ sā kah diyā hai kisī ne shāyad
vagarna phūloñ meñ ye nazākat kabhī nahīñ thī
maiñ is se pahle bhī vahshatoñ meñ rahā huuñ lekin
jo aaj hai pahle aisī hālat kabhī nahīñ thī
mire sabhī mas.ale falak vaale dekhte the
mujhe zamīñ se koī shikāyat kabhī nahīñ thī
vo mujh meñ apnā bichhaḌ chukā ishq pā gayā thā
haañ us ko mujh se koī mohabbat kabhī nahīñ thī
tumhāre bandoñ ko dekh kar aisā lag rahā hai
inheñ ḳhudā kī koī zarūrat kabhī nahīñ thī
mujhe wafa-dariyon ki aadat kabhi nahin thi
mere yahan ye ghalat riwayat kabhi nahin thi
hamare matlab ki chiz ek be-badan ki shab thi
hamein tumhaare badan ki hajat kabhi nahin thi
tumhaare honTon sa kah diya hai kisi ne shayad
wagarna phulon mein ye nazakat kabhi nahin thi
main is se pahle bhi wahshaton mein raha hun lekin
jo aaj hai pahle aisi haalat kabhi nahin thi
mere sabhi masale falak wale dekhte the
mujhe zamin se koi shikayat kabhi nahin thi
wo mujh mein apna bichhaD chuka ishq pa gaya tha
han us ko mujh se koi mohabbat kabhi nahin thi
tumhaare bandon ko dekh kar aisa lag raha hai
inhen KHuda ki koi zarurat kabhi nahin thi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.