muKHtasar se muKHtasar ye ishq ka anjam hai
muKHtasar se muKHtasar ye ishq ka anjam hai
Nazeer Mohammad Arzu Jaipuri
MORE BYNazeer Mohammad Arzu Jaipuri
muḳhtasar se muḳhtasar ye ishq kā anjām hai
har tamanna muztarib har aarzū nākām hai
band āñkheñ dekh kar vaqt-e-sahar hairāñ na ho
ab to bīmār-e-mohabbat ko sahar bhī shaam hai
dekhnā bīmār-e-ġham ne chupke chupke kyā kahā
hāl-e-dil kuchh kah rahā hai yā kisī kā naam hai
merī hastī paikar-e-ibrat hai aalam ke liye
merī barbādī mohabbat kā khulā anjām hai
merā jazb-e-ishq āḳhir merā jazb-e-ishq hai
husn ko nīchā dikhā duuñ jab to merā naam hai
kyoñ nahīñ detī javāb un ko nigāh-e-iltifāt
mujh pe kyoñ āḳhir sukūn-e-qalb kā ilzām hai
dekhnā tashrīf laate haiñ janāb-e-‘ārzū’
haath meñ shīsha baġhal meñ ik subū-e-ḳhām hai
muKHtasar se muKHtasar ye ishq ka anjam hai
har tamanna muztarib har aarzu nakaam hai
band aankhen dekh kar waqt-e-sahar hairan na ho
ab to bimar-e-mohabbat ko sahar bhi sham hai
dekhna bimar-e-gham ne chupke chupke kya kaha
haal-e-dil kuchh kah raha hai ya kisi ka nam hai
meri hasti paikar-e-ibrat hai aalam ke liye
meri barbaadi mohabbat ka khula anjam hai
mera jazb-e-ishq aaKHir mera jazb-e-ishq hai
husn ko nicha dikha dun jab to mera nam hai
kyon nahin deti jawab un ko nigah-e-iltifat
mujh pe kyon aaKHir sukun-e-qalb ka ilzam hai
dekhna tashrif late hain janab-e-‘arzu’
hath mein shisha baghal mein ek subu-e-KHam hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.