munfarid to hai tera koi muqabil na hua
munfarid to hai tirā koī muqābil na huā
koī maḳhlūq bhī kaunain meñ kāmil na huā
ik tamāshā vo bhī dīdār ke qābil na huā
raqs-e-bismil jo sar-e-kūcha-e-qātil na huā
dil jo qurbānī-e-parvāna kā hāmil na huā
darḳhur-e-anjuman-e-sham.a-shamā.il na huā
kaun hai terī ināyat kā jo qaa.il na huā
kis ke dukh-sukh meñ to vaqt aane pe shāmil na huā
jāñ-ba-haq ho gayā taslīm alag baat hai ye
rah-rav-e-ishq yuuñ āsūda-e-manzil na huā
aañkh kyā aañkh nahīñ tāb-e-nazāra jis ko
dil vo kyā dard-e-mohabbat kā jo hāmil na huā
roz-e-avval se haiñ sargarm-e-talāsh-e-mahbūb
ham sā koī magar āvāra-e-manzil na huā
ḳhud-kushī shiddat-e-īzā-e-vafā meñ tauba
buzdilī kahiye ise ye hal-e-mushkil na huā
aisā lagtā hai asīrān-e-qafas chhūT ga.e
aaj har din kī tarah shor-e-salāsil na huā
juz dil-e-ahl-e-suḳhan lahn meñ Dhal kar ilhām
dahr meñ har kas-o-nā-kas pe to nāzil na huā
karvaTeñ liiñ to bahut husn kī ra.anā.ī ne
ishq kā rañg pa 'māhir' kabhī zaa.il na huā
munfarid to hai tera koi muqabil na hua
koi maKHluq bhi kaunain mein kaamil na hua
ek tamasha wo bhi didar ke qabil na hua
raqs-e-bismil jo sar-e-kucha-e-qatil na hua
dil jo qurbani-e-parwana ka hamil na hua
darKHur-e-anjuman-e-shama-shamail na hua
kaun hai teri inayat ka jo qail na hua
kis ke dukh-sukh mein to waqt aane pe shamil na hua
jaan-ba-haq ho gaya taslim alag baat hai ye
rah-raw-e-ishq yun aasuda-e-manzil na hua
aankh kya aankh nahin tab-e-nazara jis ko
dil wo kya dard-e-mohabbat ka jo hamil na hua
roz-e-awwal se hain sargarm-e-talash-e-mahbub
hum sa koi magar aawara-e-manzil na hua
KHud-kushi shiddat-e-iza-e-wafa mein tauba
buzdili kahiye ise ye hal-e-mushkil na hua
aisa lagta hai asiran-e-qafas chhuT gae
aaj har din ki tarah shor-e-salasil na hua
juz dil-e-ahl-e-suKHan lahn mein Dhal kar ilham
dahr mein har kas-o-na-kas pe to nazil na hua
karwaTen lin to bahut husn ki ranai ne
ishq ka rang pa 'mahir' kabhi zail na hua
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.