muntazir hun main apne aazar ka
muntazir huuñ maiñ apne aazar kā
lenā hai intiqām Thokar kā
nā-ḳhudāoñ kī niyyatoñ kī qasam
hai bharosa to bas samundar kā
kaun fitrat se baaz aatā hai
vasvasa Thiik thā kabūtar kā
in palaTte hue bagūloñ se
pūchhiyo kyā banā mire ghar kā
har tirāhe pe ik ḳhudā hai jahāñ
maiñ vahāñ aadmī huuñ be-sar kā
ek mahtāb ke tavāf meñ thā
har sitārā mire muqaddar kā
ek aañsū jo tum pe vaar ga.e
marsiya thā vo dīda-e-tar kā
muntazir hun main apne aazar ka
lena hai intiqam Thokar ka
na-KHudaon ki niyyaton ki qasam
hai bharosa to bas samundar ka
kaun fitrat se baz aata hai
waswasa Thik tha kabutar ka
in palaTte hue bagulon se
puchhiyo kya bana mere ghar ka
har tirahe pe ek KHuda hai jahan
main wahan aadmi hun be-sar ka
ek mahtab ke tawaf mein tha
har sitara mere muqaddar ka
ek aansu jo tum pe war gae
marsiya tha wo dida-e-tar ka
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.