muqaddar ne kahan koi naya paigham likkha hai
muqaddar ne kahan koi naya paigham likkha hai
Abdul Hafeez Sahil Qadri
MORE BYAbdul Hafeez Sahil Qadri
muqaddar ne kahāñ koī nayā paiġhām likkhā hai
azal hī se varaq par dil ke terā naam likkhā hai
qadam meñ jānib-e-manzil baḌhā.ūñ kyā ki qismat ne
jahāñ āġhāz likkhā thā vahīñ anjām likkhā hai
shikāyat kyā karūñ saaqī se maiñ us ke taġhāful kī
mire hoñToñ ke hisse hī meñ ḳhālī jaam likkhā hai
hameñ haiñ muntaḳhab roz-e-azal se dard kī ḳhātir
hamāre nāma-e-qismat meñ har ilzām likkhā hai
musalsal ġham musalsal dard se tañg aa ke ai 'sāhil'
ham aise ahl-e-furqat ne sahar ko shaam likkhā hai
muqaddar ne kahan koi naya paigham likkha hai
azal hi se waraq par dil ke tera nam likkha hai
qadam mein jaanib-e-manzil baDhaun kya ki qismat ne
jahan aaghaz likkha tha wahin anjam likkha hai
shikayat kya karun saqi se main us ke taghaful ki
mere honTon ke hisse hi mein KHali jam likkha hai
hamein hain muntaKHab roz-e-azal se dard ki KHatir
hamare nama-e-qismat mein har ilzam likkha hai
musalsal gham musalsal dard se tang aa ke ai 'sahil'
hum aise ahl-e-furqat ne sahar ko sham likkha hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.