na aae wo pahle tawaqquf kiya
na aa.e vo pahle tavaqquf kiyā
mue ham to kyā kyā ta.assuf kiyā
milā zahr agar haath se yaar ke
use nosh-e-jāñ be-takalluf kiyā
mare kyoñ na duniyā zuleḳhā kī tarh
ḳhudā ne tumheñ rashk-e-yūsuf kiyā
agar ganj-e-qārūñ bhī haath aa gayā
usī vaqt ham ne tasarruf kiyā
faqat sūf-poshī pe paayā madār
jo daryāft hāl-e-tasavvuf kiyā
mire ghar meñ tashrīf laa.e jo tum
‘ināyat ‘ināyat talattuf kiyā
rahā yaad mutlaq na ahd-e-alast
jo vā'da thā us meñ taḳhalluf kiyā
mire dāġh-e-dil kī jo pahuñchī havā
jahannum ne bhī shor uf uf kiyā
piyā ḳhūn-e-dil luqma-e-ġham ke saath
ġhizā meñ jo ham ne takalluf kiyā
mu'arrif hai allāh bhī husn kā
ki qur.ān meñ zikr-e-yūsuf kiyā
ġhalat kyoñ na dīvāñ ho merā 'asīr'
ki kātib ne is meñ tasarruf kiyā
na aae wo pahle tawaqquf kiya
mue hum to kya kya tassuf kiya
mila zahr agar hath se yar ke
use nosh-e-jaan be-takalluf kiya
mare kyon na duniya zuleKHa ki tarh
KHuda ne tumhein rashk-e-yusuf kiya
agar ganj-e-qarun bhi hath aa gaya
usi waqt hum ne tasarruf kiya
faqat suf-poshi pe paya madar
jo daryaft haal-e-tasawwuf kiya
mere ghar mein tashrif lae jo tum
‘inayat ‘inayat talattuf kiya
raha yaad mutlaq na ahd-e-alast
jo wa'da tha us mein taKHalluf kiya
mere dagh-e-dil ki jo pahunchi hawa
jahannum ne bhi shor uf uf kiya
piya KHun-e-dil luqma-e-gham ke sath
ghiza mein jo hum ne takalluf kiya
mu'arrif hai allah bhi husn ka
ki quran mein zikr-e-yusuf kiya
ghalat kyon na diwan ho mera 'asir'
ki katib ne is mein tasarruf kiya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.