na bhula jaega tum se gham-e-be-intiha mera
na bhūlā jā.egā tum se ġham-e-be-intihā merā
rahegā dard ban kar dil meñ ehsās-e-vafā merā
salāmat hai ye jab tak jazba-e-zauq-e-rasā merā
bigāḌegī bhalā kyā ye zamāne kī havā merā
tajallī husn-e-zebā kī bahāreñ rū-e-raushan kī
inhīñ rangīniyoñ meñ dil bhī shāyad kho gayā merā
tumhīñ par chhoḌtā huuñ munsifī jurm-e-mohabbat kī
na raas aa.egā aisī kashmakash meñ faisla merā
mujhe barbād hone meñ ta.ammul kuchh nahīñ lekin
koī manshā-e-barbādī to samjhā de zarā merā
tumheñ aanā paḌegā āḳhirī dīdār-e-mayyat par
tum apnī aañkh se dekhoge anjām-e-vafā merā
fazā-e-ḳhātir-e-ġhamgīñ se vīrānī chhalaktī hai
koī muñh dekh le ai 'zeb' hangām-e-fanā merā
na bhula jaega tum se gham-e-be-intiha mera
rahega dard ban kar dil mein ehsas-e-wafa mera
salamat hai ye jab tak jazba-e-zauq-e-rasa mera
bigaDegi bhala kya ye zamane ki hawa mera
tajalli husn-e-zeba ki bahaaren ru-e-raushan ki
inhin ranginiyon mein dil bhi shayad kho gaya mera
tumhin par chhoDta hun munsifi jurm-e-mohabbat ki
na ras aaega aisi kashmakash mein faisla mera
mujhe barbaad hone mein tammul kuchh nahin lekin
koi mansha-e-barbaadi to samjha de zara mera
tumhein aana paDega aaKHiri didar-e-mayyat par
tum apni aankh se dekhoge anjam-e-wafa mera
faza-e-KHatir-e-ghamgin se virani chhalakti hai
koi munh dekh le ai 'zeb' hangam-e-fana mera
- Book : Nigar Khane (Pg. 50)
- Author : Mata Prashad Istihana Zeb Brelavi
- Publication : Abdul bari aasii Acadami alatosh Road, Lucknow (1966)
- Edition : 1966
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.