na jaane kab ke thame ashk the chhalak aae
na jaane kab ke thame ashk the chhalak aa.e
bahut se dost mujhe yaad yak-ba-yak aa.e
tirī hī shab ke sitāre nahīñ bane aañsū
na jaane kitne hī palkoñ pe ye chamak aa.e
javāb de ga.iiñ jab bhī ghuTī ghuTī yādeñ
tire ḳhutūt ke jhoñke ḳhunak ḳhunak aa.e
mirā safar thā kahīñ aur be-ḳhudī kī qasam
qadam the terī taraf kyā kareñ bhaTak aa.e
mudāḳhalat kī fazā tānte chalo 'rizvān'
havā kī chaal meñ mumkin hai kuchh lachak aa.e
na jaane kab ke thame ashk the chhalak aae
bahut se dost mujhe yaad yak-ba-yak aae
teri hi shab ke sitare nahin bane aansu
na jaane kitne hi palkon pe ye chamak aae
jawab de gain jab bhi ghuTi ghuTi yaaden
tere KHutut ke jhonke KHunak KHunak aae
mera safar tha kahin aur be-KHudi ki qasam
qadam the teri taraf kya karen bhaTak aae
mudaKHalat ki faza tante chalo 'rizwan'
hawa ki chaal mein mumkin hai kuchh lachak aae
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.