nahin bad bhi nahin achchha agarche
nahīñ bad bhī nahīñ achchhā agarche
use samjhī nahīñ duniyā agarche
magar ham sahte sahte sah ga.e haiñ
judā.ī thī baḌā sadma agarche
dukāñ par baiThte to haiñ tumhārī
nahīñ lete haiñ ham saudā agarche
magar phir bhī bahut bikhrā paḌā huuñ
kiyā ḳhud ko bahut yakjā agarche
tumhāre kaam aane kā nahīñ hai
tumhāre paas hai paisa agarche
magar tum sā kahāñ se mil sakegā
yahāñ har koī hai tum sā agarche
magar ham lāziman pūchheñge us ko
hameñ us ne nahīñ pūchhā agarche
magar har baar toḌī terī ḳhātir
bahut ham ne bhī kī tauba agarche
hai mere saath lashkar vasvasoñ kā
ba-zāhir huuñ bahut tanhā agarche
magar is meñ nahīñ hai lau zarā bhī
mirī āñkhoñ kā hai taarā agarche
magar is par guzāra hai hamārā
tumhārā pyaar hai thoḌā agarche
magar rusvā.ī ke zumre meñ hai vo
har ik sū hai tirā charchā agarche
magar khānā hai majbūrī hamārī
mohabbat hai nirā dhokā agarche
batā dete haiñ chehre kī zabānī
hamāre lab pe hai taalā agarche
chalo apnā sharīk-e-rizq to hai
nahīñ vo kaam kā banda agarche
hameñ sairāb karne se hai qāsir
hamāre dil meñ hai dariyā agarche
use phir bhī na hāsil kar sake ham
hamārī dastaras meñ thā agarche
nahīñ Thahrā vo Thahrā hī nahīñ hai
kiyā ham ne bahut girya agarche
magar achchhī tarah kab dekh paa.e
use ham ne bahut ghūrā agarche
ta'alluq be-ruḳhī kā to hai maujūd
nahīñ un se mirā rishta agarche
chalātā hai ḳhudā-e-pāk 'nāmī'
ziyāda hai mirā ḳharcha agarche
nahin bad bhi nahin achchha agarche
use samjhi nahin duniya agarche
magar hum sahte sahte sah gae hain
judai thi baDa sadma agarche
dukan par baiThte to hain tumhaari
nahin lete hain hum sauda agarche
magar phir bhi bahut bikhra paDa hun
kiya KHud ko bahut yakja agarche
tumhaare kaam aane ka nahin hai
tumhaare pas hai paisa agarche
magar tum sa kahan se mil sakega
yahan har koi hai tum sa agarche
magar hum laziman puchhenge us ko
hamein us ne nahin puchha agarche
magar har bar toDi teri KHatir
bahut hum ne bhi ki tauba agarche
hai mere sath lashkar waswason ka
ba-zahir hun bahut tanha agarche
magar is mein nahin hai lau zara bhi
meri aankhon ka hai tara agarche
magar is par guzara hai hamara
tumhaara pyar hai thoDa agarche
magar ruswai ke zumre mein hai wo
har ek su hai tera charcha agarche
magar khana hai majburi hamari
mohabbat hai nira dhoka agarche
bata dete hain chehre ki zabani
hamare lab pe hai tala agarche
chalo apna sharik-e-rizq to hai
nahin wo kaam ka banda agarche
hamein sairab karne se hai qasir
hamare dil mein hai dariya agarche
use phir bhi na hasil kar sake hum
hamari dastaras mein tha agarche
nahin Thahra wo Thahra hi nahin hai
kiya hum ne bahut girya agarche
magar achchhi tarah kab dekh pae
use hum ne bahut ghura agarche
ta'alluq be-ruKHi ka to hai maujud
nahin un se mera rishta agarche
chalata hai KHuda-e-pak 'nami'
ziyaada hai mera KHarcha agarche
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.