naqsh-e-qadam mile jo tere chal ke sar se hum
naqsh-e-qadam mile jo tere chal ke sar se hum
Damodar Thakur Zaki
MORE BYDamodar Thakur Zaki
naqsh-e-qadam mile jo tire chal ke sar se ham
aksar guzar ga.e haiñ tirī rahguzar se ham
haiñ be-niyāz tandahī-e-chārāgar se ham
be-ḳhud rahe ināyat-e-dard-e-jigar se ham
samjhe jahāñ ko apnā baḌe karr-o-far se ham
dekhe ga.e hamesha parā.ī nazar se ham
naqsh-e-qadam se chimTe tirī rahguzar se ham
par terī diid ko rahe tarse ke tarse ham
ham dekhte haiñ tum ko hamārī nigāh se
ġhairoñ ko dekhte haiñ tumhārī nazar se ham
mahfūz kar le apne liye ġham-gusāriyāñ
sayyād bā-ḳhabar haiñ tire ḳhair-o-shar se ham
tum ko samajh ke tum sitam apne pe Dhā liye
kis darje be-ḳhabar haiñ hamārī ḳhabar se ham
allāh shaiḳh jī ko tū jannat kare nasīb
vābasta sub.h-o-shām raheñ un ke dar se ham
laate na tere ishq meñ shikve zabān par
aap apne ko samajhte agar peshtar se ham
ham tere ho ke bazm meñ terī na rah sake
mahfil thī terī aañkh sī terī nazar se ham
yā paar hoñge chiir ke yā Duub jā.eñge
sāhil pe ruk na jā.eñge tūfāñ ke Dar se ham
niklī huī duā.eñ abhī justujū meñ haiñ
shāyad ba.īd-tar haiñ maqām-e-asar se ham
nazroñ se sab kī gir ga.e parvā na thī hameñ
lekin ġhazab hai girte haiñ apnī nazar se ham
kyā hashr hone vaalā hai dekheñge ai 'zakī'
baiThe haiñ dil lagā ke kisī fitna-gar se ham
naqsh-e-qadam mile jo tere chal ke sar se hum
aksar guzar gae hain teri rahguzar se hum
hain be-niyaz tandahi-e-chaaragar se hum
be-KHud rahe inayat-e-dard-e-jigar se hum
samjhe jahan ko apna baDe karr-o-far se hum
dekhe gae hamesha parai nazar se hum
naqsh-e-qadam se chimTe teri rahguzar se hum
par teri did ko rahe tarse ke tarse hum
hum dekhte hain tum ko hamari nigah se
ghairon ko dekhte hain tumhaari nazar se hum
mahfuz kar le apne liye gham-gusariyan
sayyaad ba-KHabar hain tere KHair-o-shar se hum
tum ko samajh ke tum sitam apne pe Dha liye
kis darje be-KHabar hain hamari KHabar se hum
allah shaiKH ji ko tu jannat kare nasib
wabasta subh-o-sham rahen un ke dar se hum
late na tere ishq mein shikwe zaban par
aap apne ko samajhte agar peshtar se hum
hum tere ho ke bazm mein teri na rah sake
mahfil thi teri aankh si teri nazar se hum
ya par honge chir ke ya Dub jaenge
sahil pe ruk na jaenge tufan ke Dar se hum
nikli hui duaen abhi justuju mein hain
shayad baid-tar hain maqam-e-asar se hum
nazron se sab ki gir gae parwa na thi hamein
lekin ghazab hai girte hain apni nazar se hum
kya hashr hone wala hai dekhenge ai 'zaki'
baiThe hain dil laga ke kisi fitna-gar se hum
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.