nasl wo baqi kahan bachi hai hijrat karne walon ki
nasl vo baaqī kahāñ bachī hai hijrat karne vāloñ kī
ab to qatāreñ lagī huī haiñ jaise marne vāloñ kī
khulī huī hai chhat par khiḌkī ek purāne kamre kī
jis se koī dekhā kartā thā shakl guzarne vāloñ kī
kuchh din un meñ rah kar dekhā to ik dam ehsās huā
kaisī hai be-rang sī duniyā banñe-sañvarne vāloñ kī
dekho yaar is ḳhālī ghar se barsoñ baa'd bhī shaam Dhale
āvāzeñ aatī rahtī haiñ aa.heñ bharne vāloñ kī
kitnī chīzeñ paḌī huī haiñ bāhar be-tartībī se
apne andar lamha-lamha roz bikharne vāloñ kī
tanhā.ī kī gard meñ lipTī bol rahī haiñ tasvīreñ
āñkhoñ meñ to jhāñk ke dekho ḳhud se Darne vāloñ kī
āhista āhista sab kirdār 'ayāñ ho jā.eñge
pusht-panāhī karte rahe haiñ jo bhī dharne vāloñ kī
chehre 'zahūr' ab yaad nahīñ haiñ itnā yaad hai lahroñ meñ
chīḳheñ sunī thiiñ logoñ ne dariyā meñ utarne vāloñ kī
nasl wo baqi kahan bachi hai hijrat karne walon ki
ab to qataren lagi hui hain jaise marne walon ki
khuli hui hai chhat par khiDki ek purane kamre ki
jis se koi dekha karta tha shakl guzarne walon ki
kuchh din un mein rah kar dekha to ek dam ehsas hua
kaisi hai be-rang si duniya banne-sanwarne walon ki
dekho yar is KHali ghar se barson ba'd bhi sham Dhale
aawazen aati rahti hain aahen bharne walon ki
kitni chizen paDi hui hain bahar be-tartibi se
apne andar lamha-lamha roz bikharne walon ki
tanhai ki gard mein lipTi bol rahi hain taswiren
aankhon mein to jhank ke dekho KHud se Darne walon ki
aahista aahista sab kirdar 'ayan ho jaenge
pusht-panahi karte rahe hain jo bhi dharne walon ki
chehre 'zahur' ab yaad nahin hain itna yaad hai lahron mein
chiKHen suni thin logon ne dariya mein utarne walon ki
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.