nazar bhar kar wo kya tujhko dil-e-dil-gir dekhenge
nazar bhar kar wo kya tujhko dil-e-dil-gir dekhenge
Mohammad Bin Hasan Sharar
MORE BYMohammad Bin Hasan Sharar
nazar bhar kar vo kyā tujh ko dil-e-dil-gīr dekheñge
vo jab dekheñge apne husn kī tasvīr dekheñge
baḌī hasrat se tujh ko āsmān-e-pīr dekheñge
giraftārī hamārī ham jo be-taqsīr dekheñge
ma.āl-e-hasrat-e-nākāmī-e-dil sāmne hogā
kitāb-e-ishq meñ jab ishq kī tafsīr dekheñge
agar chashm-e-karam-parvar se dekheñ ro paḌeñ fauran
hamārī ḳhasta-hālī kī agar tasvīr dekheñge
rahegā pā-e-vahshat-āshnā ik ḳhvāb kī sūrat
baḌī hasrat se jab vo ḳhāna-e-zanjīr dekheñge
nigāhoñ meñ kisī kā husn-e-ālamgīr hī hogā
havas dast-e-zuleḳhā kī jo dāman-gīr dekheñge
nazar bhar kar wo kya tujh ko dil-e-dil-gir dekhenge
wo jab dekhenge apne husn ki taswir dekhenge
baDi hasrat se tujh ko aasman-e-pir dekhenge
giraftari hamari hum jo be-taqsir dekhenge
maal-e-hasrat-e-nakaami-e-dil samne hoga
kitab-e-ishq mein jab ishq ki tafsir dekhenge
agar chashm-e-karam-parwar se dekhen ro paDen fauran
hamari KHasta-haali ki agar taswir dekhenge
rahega pa-e-wahshat-ashna ek KHwab ki surat
baDi hasrat se jab wo KHana-e-zanjir dekhenge
nigahon mein kisi ka husn-e-alamgir hi hoga
hawas dast-e-zuleKHa ki jo daman-gir dekhenge
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.