nazar se sab ki pinhan hai jo andaz-e-nazar apna
nazar se sab kī pinhāñ hai jo andāz-e-nazar apnā
kahīñ miTTī meñ mil jaa.e na sab kasb-e-hunar apnā
muhīt-e-soz-e-ālam hai agar soz-e-hunar apnā
ba-qadr-e-vus.at-e-dil chāhiye dard-e-jigar apnā
ġhazal-goī kī tohmat kyoñ mire zauq-e-junūñ par hai
nahīñ minnat-kash-e-rasm-e-hunar zauq-e-hunar apnā
har ik kā dard hī baa.is agar hai dard kā apne
kahāñ tak chārā-jūī kar sakegā chārāgar apnā
pa-e-tausī.a-e-fan dār-o-rasan haiñ muntazir mere
bahut minnat-kash-e-taufīq-e-dushman hai hunar apnā
qadam sadiyoñ ke uupar haiñ nazar sadiyoñ se aage hai
na.ī ta.amīr meñ sarmast hai zauq-e-hunar apnā
yahī ik intiqām apnā bahut kaafī hai duniyā se
agar ġhusse meñ duniyā se chhupā rakkhūñ hunar apnā
nazar se sab ki pinhan hai jo andaz-e-nazar apna
kahin miTTi mein mil jae na sab kasb-e-hunar apna
muhit-e-soz-e-alam hai agar soz-e-hunar apna
ba-qadr-e-wusat-e-dil chahiye dard-e-jigar apna
ghazal-goi ki tohmat kyon mere zauq-e-junun par hai
nahin minnat-kash-e-rasm-e-hunar zauq-e-hunar apna
har ek ka dard hi bais agar hai dard ka apne
kahan tak chaara-jui kar sakega chaaragar apna
pa-e-tausia-e-fan dar-o-rasan hain muntazir mere
bahut minnat-kash-e-taufiq-e-dushman hai hunar apna
qadam sadiyon ke upar hain nazar sadiyon se aage hai
nai tamir mein sarmast hai zauq-e-hunar apna
yahi ek intiqam apna bahut kafi hai duniya se
agar ghusse mein duniya se chhupa rakkhun hunar apna
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.