nazar uTThi jidhar teri udhar hi maine jaan rakh di
nazar uTThī jidhar terī udhar hī maiñ ne jaañ rakh dī
magar hairāñ huuñ maiñ ḳhud bhī matā-e-jāñ kahāñ rakh dī
jise denā thā de Daalā nahīñ dil koī aisī shai
idhar rakh dī udhar rakh dī yahāñ rakh dī vahāñ rakh dī
tujhe āvāz detā huuñ maiñ jab tanhā.ī paatā huuñ
nihāñ-ḳhāne meñ dil ke ik na.ī tarz-e-fuġhāñ rakh dī
bahut chāhā ki hāl-e-dil kabhī koī na sun paa.e
magar kambaḳht āñkhoñ ne ḳhamoshī meñ zabāñ rakh dī
anāsir meñ baḌā haijān thā tūfāñ sā barpā thā
binā duniyā kī aise meñ kisī ne nā-gahāñ rakh dī
chamak in motiyoñ kī aur bhī do-chand honī thī
ḳhud apne fan pe maiñ ne hī nigāh-e-nāqidāñ rakh dī
ināyat dil kī hai ishq-e-haqīqī ho majāzī ho
yahī ik baat hai jo dāstāñ-dar-dāstāñ rakh dī
miTā dī apnī hastī phir bhī duniyā kuchh na de paa.ī
jabīñ mujh ko kahāñ rakhnī thī aur maiñ ne kahāñ rakh dī
chalā.e jaate tum bhī tiir nā-hanjār duniyā par
magar 'rizvān' tum ne bhī to āḳhir meñ kamāñ rakh dī
nazar uTThi jidhar teri udhar hi main ne jaan rakh di
magar hairan hun main KHud bhi mata-e-jaan kahan rakh di
jise dena tha de Dala nahin dil koi aisi shai
idhar rakh di udhar rakh di yahan rakh di wahan rakh di
tujhe aawaz deta hun main jab tanhai pata hun
nihan-KHane mein dil ke ek nai tarz-e-fughan rakh di
bahut chaha ki haal-e-dil kabhi koi na sun pae
magar kambaKHt aankhon ne KHamoshi mein zaban rakh di
anasir mein baDa haijaan tha tufan sa barpa tha
bina duniya ki aise mein kisi ne na-gahan rakh di
chamak in motiyon ki aur bhi do-chand honi thi
KHud apne fan pe main ne hi nigah-e-naqidan rakh di
inayat dil ki hai ishq-e-haqiqi ho majazi ho
yahi ek baat hai jo dastan-dar-dastan rakh di
miTa di apni hasti phir bhi duniya kuchh na de pai
jabin mujh ko kahan rakhni thi aur main ne kahan rakh di
chalae jate tum bhi tir na-hanjar duniya par
magar 'rizwan' tum ne bhi to aaKHir mein kaman rakh di
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.