nigah-e-ishq uTh gai jidhar jidhar jahan-jahan
nigāh-e-ishq uTh ga.ī jidhar jidhar jahāñ-jahāñ
harīm-e-husn be-hijāb udhar udhar vahāñ vahāñ
ḳhud apnī hī tajalliyoñ meñ mil gayā nishān-e-haq
bhaTaktī jaane ye nazar kidhar kidhar kahāñ kahāñ
charāġh ban ke zulmatoñ ko nuur meñ badal gayā
mirā vajūd-e-zau-fishāñ sahar sahar azaañ azaañ
maiñ rang rang ruup ruup chhāñv chhāñv dhuup dhuup
maiñ bām-o-dar makāñ makāñ asar asar zamāñ zamāñ
sukūñ kahāñ hai qalb ko firāq ho ki vasl ho
jigar jigar tapāñ tapāñ nazar nazar dhuāñ dhuāñ
za-farq tā-qadam sitam qayāmatī hī dam-ba-dam
vo abrū-o-mizha baham tabar tabar sināñ sināñ
nadī kī tarah chaḌh ke kyoñ javāniyāñ utar ga.iiñ
fasāna-e-hayāt bhī ḳhabar ḳhabar gumāñ gumāñ
chaman chaman thā naġhma-zan tarab-navā-e-anjuman
ye aaj kyā huā jo hai bashar bashar fuġhāñ fuġhāñ
azal se jo nasīb hai vo har-nafas qarīb hai
havas phirā rahī hai kyoñ Dagar Dagar kashāñ kashāñ
hai rustaḳhez-e-ishq ḳhud surāġh-e-manzil-e-abad
ḳhirad kī hīla-jūī meñ ḳhatar ḳhatar ayaañ ayaañ
maiñ 'barq'-e-kaj-kulāh huuñ faqīr-e-ḳhānqāh huuñ
pukārte haiñ kyoñ mujhe khañDar khañDar nishāñ nishāñ
nigah-e-ishq uTh gai jidhar jidhar jahan-jahan
harim-e-husn be-hijab udhar udhar wahan wahan
KHud apni hi tajalliyon mein mil gaya nishan-e-haq
bhaTakti jaane ye nazar kidhar kidhar kahan kahan
charagh ban ke zulmaton ko nur mein badal gaya
mera wajud-e-zau-fishan sahar sahar azan azan
main rang rang rup rup chhanw chhanw dhup dhup
main baam-o-dar makan makan asar asar zaman zaman
sukun kahan hai qalb ko firaq ho ki wasl ho
jigar jigar tapan tapan nazar nazar dhuan dhuan
za-farq ta-qadam sitam qayamati hi dam-ba-dam
wo abru-o-mizha baham tabar tabar sinan sinan
nadi ki tarah chaDh ke kyon jawaniyan utar gain
fasana-e-hayat bhi KHabar KHabar guman guman
chaman chaman tha naghma-zan tarab-nawa-e-anjuman
ye aaj kya hua jo hai bashar bashar fughan fughan
azal se jo nasib hai wo har-nafas qarib hai
hawas phira rahi hai kyon Dagar Dagar kashan kashan
hai rustaKHez-e-ishq KHud suragh-e-manzil-e-abad
KHirad ki hila-jui mein KHatar KHatar ayan ayan
main 'barq'-e-kaj-kulah hun faqir-e-KHanqah hun
pukarte hain kyon mujhe khanDar khanDar nishan nishan
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.