nigah-e-shoKH se jab shauq ka paigham aata hai
nigah-e-shoKH se jab shauq ka paigham aata hai
Mumtaz Ahmad Khan Khushtar
MORE BYMumtaz Ahmad Khan Khushtar
nigāh-e-shoḳh se jab shauq kā paiġhām aatā hai
hameñ us dam ḳhayāl-e-gardish-e-ayyām aatā hai
vahī ik vaqt hotā hai jo apne kaam aatā hai
kabhī barsoñ meñ jab daur-e-bahār-e-jām aatā hai
kahāñ ārām rakkhā hai kahāñ ārām aatā hai
guzar jaatī hai sub.h-e-ġham to vaqt-e-shām aatā hai
ḳhulūs-e-dil kī apne qadr ho jis bazm meñ hamdam
vahīñ jā kar usūl-e-zindagī bhī kaam aatā hai
mazāq-e-zindagī kyā ḳhaak badleñ aisī mahfil kā
jahāñ har roz ham par ik nayā ilzām aatā hai
mirī nākāmī-e-qismat tamāshā kar dikhātī hai
laboñ tak jab kabhī mere ḳhushī kā jaam aatā hai
usī ko ham samajh lete haiñ apnā sādgī dekho
jo apne saath rāh-e-shauq meñ do-gām aatā hai
mire zulmat-kade meñ tīrgī baḌhtī hai jab had se
mirā dāġh-e-jigar ban kar charāġh-e-shām aatā hai
ġhanīmat hai jo us ne yaad farmāyā hai chal ai dil
kahīñ us kī taraf se roz yuuñ paiġhām aatā hai
mirī mai-noshiyāñ pīr-e-muġhāñ ke dam se qaa.em haiñ
karam hotā hai jab us kā to mujh tak jaam aatā hai
jise hai kaam 'ishrat se vo qaid-e-ġham ko kyā jaane
samajhtā hai vo qaid-e-ġham jo zer-e-dām aatā hai
usī kī zindagī hai zindagī duniyā meñ ai 'ḳhushtar'
vahī insān hai insāñ jo sab ke kaam aatā hai
nigah-e-shoKH se jab shauq ka paigham aata hai
hamein us dam KHayal-e-gardish-e-ayyam aata hai
wahi ek waqt hota hai jo apne kaam aata hai
kabhi barson mein jab daur-e-bahaar-e-jam aata hai
kahan aaram rakkha hai kahan aaram aata hai
guzar jati hai subh-e-gham to waqt-e-sham aata hai
KHulus-e-dil ki apne qadr ho jis bazm mein hamdam
wahin ja kar usul-e-zindagi bhi kaam aata hai
mazaq-e-zindagi kya KHak badlen aisi mahfil ka
jahan har roz hum par ek naya ilzam aata hai
meri nakaami-e-qismat tamasha kar dikhati hai
labon tak jab kabhi mere KHushi ka jam aata hai
usi ko hum samajh lete hain apna sadgi dekho
jo apne sath rah-e-shauq mein do-gam aata hai
mere zulmat-kade mein tirgi baDhti hai jab had se
mera dagh-e-jigar ban kar charagh-e-sham aata hai
ghanimat hai jo us ne yaad farmaya hai chal ai dil
kahin us ki taraf se roz yun paigham aata hai
meri mai-noshiyan pir-e-mughan ke dam se qaem hain
karam hota hai jab us ka to mujh tak jam aata hai
jise hai kaam 'ishrat se wo qaid-e-gham ko kya jaane
samajhta hai wo qaid-e-gham jo zer-e-dam aata hai
usi ki zindagi hai zindagi duniya mein ai 'KHushtar'
wahi insan hai insan jo sab ke kaam aata hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.