nikal gaya hai koi mar-dhaD karte hue
nikal gayā hai koī mār-dhāḌ karte hue
bharī-purī mirī āñkheñ ujaaḌ karte hue
ye rat-jage sar-e-vahshat ghasīTte haiñ mujhe
maiñ lauTtī huuñ kitāboñ ko aaḌ karte hue
ajiib tarz-e-hunar par aḌe haiñ log yahāñ
banāo siikh rahe haiñ bigāḌ karte hue
na-jāne kaun sī raa.ī adū ke haath lagī
ki nīm-jān hai us ko pahāḌ karte hue
chaTān jaisā ta.alluq bhī TuuT jaatā hai
zarā sī darz ko gahrī darāḌ karte hue
hameñ ye kaisā darinda sifāt daur milā
guzar rahā hai bahut chīr-phāḌ karte hue
yahāñ-vahāñ ke fareboñ se Tokarī bhar lī
idhar udhar se ḳhushī kā jugāḌ karte hue
adal-badal meñ hī ḳheme tabāh kar Daale
yahāñ na gaaḌ vahāñ se ukhāḌ karte hue
bhaḌak rahe ho musalsal sar-e-sukūt-o-suḳhan
kisī hasad meñ ḳhayāloñ ko bhaaḌ karte hue
nikal gaya hai koi mar-dhaD karte hue
bhari-puri meri aankhen ujaD karte hue
ye rat-jage sar-e-wahshat ghasiTte hain mujhe
main lauTti hun kitabon ko aaD karte hue
ajib tarz-e-hunar par aDe hain log yahan
banao sikh rahe hain bigaD karte hue
na-jaane kaun si rai adu ke hath lagi
ki nim-jaan hai us ko pahaD karte hue
chaTan jaisa talluq bhi TuT jata hai
zara si darz ko gahri daraD karte hue
hamein ye kaisa darinda sifat daur mila
guzar raha hai bahut chir-phaD karte hue
yahan-wahan ke farebon se Tokari bhar li
idhar udhar se KHushi ka jugaD karte hue
adal-badal mein hi KHeme tabah kar Dale
yahan na gaD wahan se ukhaD karte hue
bhaDak rahe ho musalsal sar-e-sukut-o-suKHan
kisi hasad mein KHayalon ko bhaD karte hue
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.