paDa hua tha ye kab se sanam idhar parda
paḌā huā thā ye kab se sanam idhar pardā
uḌā ga.ī hai havā aaj ye kidhar pardā
hai ibtidā ye mohabbat kī tum samajh lete
bujhā bujhā sā hī rahne lage agar pardā
qarār aatā kahāñ hai binā unheñ dekhe
sharīf itnā huuñ lagtā hai mo'tabar pardā
utaar kar zarā apnā naqāb vo rakh deñ
idhar-udhar bhī uḌe jaa.e phir Thahar pardā
nibhā rahā thā abhī saath kal talak vo bhī
havā chalī to huā hai kidhar kidhar pardā
nigāh ham ne jahāñ se chhupā ke rakkhā hai
churā churā ke nazar dekhā thā magar pardā
chhupī huī hai kisī dardmand kī ġhairat
hai qīmtī sā lage ham ko maal zar pardā
gunāh koī kahe ham savāb kahte haiñ
nazar se chūmte 'āqib' hazār gar pardā
paDa hua tha ye kab se sanam idhar parda
uDa gai hai hawa aaj ye kidhar parda
hai ibtida ye mohabbat ki tum samajh lete
bujha bujha sa hi rahne lage agar parda
qarar aata kahan hai bina unhen dekhe
sharif itna hun lagta hai mo'tabar parda
utar kar zara apna naqab wo rakh den
idhar-udhar bhi uDe jae phir Thahar parda
nibha raha tha abhi sath kal talak wo bhi
hawa chali to hua hai kidhar kidhar parda
nigah hum ne jahan se chhupa ke rakkha hai
chura chura ke nazar dekha tha magar parda
chhupi hui hai kisi dardmand ki ghairat
hai qimti sa lage hum ko mal zar parda
gunah koi kahe hum sawab kahte hain
nazar se chumte 'aqib' hazar gar parda
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.