pahle wo parindon ko ham-zaban banata hai
pahle vo parindoñ ko ham-zabāñ banātā hai
baa'd jaal bunñe ko rassiyāñ banātā hai
aaj ik samundar ne jis se dushmanī kar lī
vo to sirf sāhil par kashtiyāñ banātā hai
jis pe dars-e-hastī kā imtihān guzrā ho
vo qalam se kāġhaz par talḳhiyāñ banātā hai
sub.h hone se pahle shor phail jaatā hai
kaun raat bhar itnī siskiyāñ banātā hai
dil to ḳhair dil Thahrā bebasī meñ kis kis par
raaz khol detā hai rāz-dāñ banātā hai
ḳhāk-e-dasht-e-imkāñ se ik diyā banā kar ke
vahshat-o-tazabzub kī āñdhiyāñ banātā hai
pahle wo parindon ko ham-zaban banata hai
ba'd jal bunne ko rassiyan banata hai
aaj ek samundar ne jis se dushmani kar li
wo to sirf sahil par kashtiyan banata hai
jis pe dars-e-hasti ka imtihan guzra ho
wo qalam se kaghaz par talKHiyan banata hai
subh hone se pahle shor phail jata hai
kaun raat bhar itni siskiyan banata hai
dil to KHair dil Thahra bebasi mein kis kis par
raaz khol deta hai raaz-dan banata hai
KHak-e-dasht-e-imkan se ek diya bana kar ke
wahshat-o-tazabzub ki aandhiyan banata hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.