pas-ghubar-e-hawas raat Dhalti rahti hai
pas-ġhubār-e-havas raat Dhaltī rahtī hai
nashe meñ chuur pighaltī machaltī rahtī hai
ḳhabar yahī hai ki āġhosh-e-hijr meñ pahroñ
tumhārī yaad bhī pahlū badaltī rahtī hai
ye maiñ ne dekhā hai aksar phaTī purānī hayāt
sar-e-darīcha-e-shab haath maltī rahtī hai
qafas se ham bhī nikalne ko kab se haiñ be-tāb
magar vo sā.at-e-āḳhir jo Taltī rahtī hai
vo rang rang bahārāñ hai khultā rahtā hai
vo shāḳh shāḳh samar-var hai phaltī rahtī hai
hai ek kār-e-ziyāñ shahr shahr dar-badarī
magar yahī ki tabī'at bahaltī rahtī hai
pas-ghubar-e-hawas raat Dhalti rahti hai
nashe mein chur pighalti machalti rahti hai
KHabar yahi hai ki aaghosh-e-hijr mein pahron
tumhaari yaad bhi pahlu badalti rahti hai
ye main ne dekha hai aksar phaTi purani hayat
sar-e-daricha-e-shab hath malti rahti hai
qafas se hum bhi nikalne ko kab se hain be-tab
magar wo saat-e-aKHir jo Talti rahti hai
wo rang rang bahaaran hai khulta rahta hai
wo shaKH shaKH samar-war hai phalti rahti hai
hai ek kar-e-ziyan shahr shahr dar-badari
magar yahi ki tabi'at bahalti rahti hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.