phir insanon ki ghairat ne shaitanon ka munh pher diya
phir insanon ki ghairat ne shaitanon ka munh pher diya
Abul Fitrat Meer Zaidi
MORE BYAbul Fitrat Meer Zaidi
phir insānoñ kī ġhairat ne shaitānoñ kā muñh pher diyā
phir himmat-e-mard-e-mujāhid ne tūfānoñ kā muñh pher diyā
phir āzādī ne sabaq diyā āzādī ke matvāloñ ko
phir sham' ne raushan hote hī parvānoñ kā muñh pher diyā
insāf kī sachchī ḳhvāhish ne mahrūmoñ ko phir uksāyā
phir insānoñ ne shahzādoñ aur ḳhānoñ kā muñh pher diyā
phir ḳhalvat se mahrūm kiyā muḳhtāroñ ko majbūroñ ne
phir diid kī tālib duniyā ne darbānoñ kā muñh pher diyā
phir palkeñ bhīgī bhīgī haiñ phir chehra utrā utrā hai
mā'lūm huā dīvānoñ ne dīvānoñ kā muñh pher diyā
dozaḳh se hameñ is bastī meñ jannat kā tasavvur laayā thā
is hindī sindhī jhagḌe ne armānoñ kā muñh pher diyā
phir insanon ki ghairat ne shaitanon ka munh pher diya
phir himmat-e-mard-e-mujahid ne tufanon ka munh pher diya
phir aazadi ne sabaq diya aazadi ke matwalon ko
phir sham' ne raushan hote hi parwanon ka munh pher diya
insaf ki sachchi KHwahish ne mahrumon ko phir uksaya
phir insanon ne shahzadon aur KHanon ka munh pher diya
phir KHalwat se mahrum kiya muKHtaron ko majburon ne
phir did ki talib duniya ne darbanon ka munh pher diya
phir palken bhigi bhigi hain phir chehra utra utra hai
ma'lum hua diwanon ne diwanon ka munh pher diya
dozaKH se hamein is basti mein jannat ka tasawwur laya tha
is hindi sindhi jhagDe ne armanon ka munh pher diya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.