phir kisi hadse ka dar khole
phir kisī hādse kā dar khole
pahle parvāz ko vo par khole
jaise jañgal meñ raat utrī ho
yuuñ udāsī milī hai sar khole
pahle taqdīr se nimaT aa.e
phir vo apne sabhī hunar khole
manziloñ ne vaqār baḳhshā hai
rāste chal paḌe safar khole
jo samajhtā hai zindagī ke rumūz
maut kā dar vo be-ḳhatar khole
hai 'kañval' ḳhauf rā.egānī kā
kaise is zindagī kā Dar khole
phir kisi hadse ka dar khole
pahle parwaz ko wo par khole
jaise jangal mein raat utri ho
yun udasi mili hai sar khole
pahle taqdir se nimaT aae
phir wo apne sabhi hunar khole
manzilon ne waqar baKHsha hai
raste chal paDe safar khole
jo samajhta hai zindagi ke rumuz
maut ka dar wo be-KHatar khole
hai 'kanwal' KHauf raegani ka
kaise is zindagi ka Dar khole
- Book : Mujalla Dastavez (Pg. 662)
- Author : Aziz Nabeel
- Publication : Edarah Dastavez (2013-14)
- Edition : 2013-14
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.