phul mahke hue hain ghar KHamosh
phuul mahke hue haiñ ghar ḳhāmosh
chāñdnī hai idhar udhar ḳhāmosh
shor uTThā thā thoḌā āñkhoñ meñ
ho ga.ī phir ye rahguzar ḳhāmosh
chīḳhtā phir rahā thā galiyoñ meñ
mujh meñ aa kar huā hai Dar ḳhāmosh
kaun un rāstoñ se guzrā hai
manzaroñ ke pare nazar ḳhāmosh
jā-ba-jā mil rahe haiñ kis ke nishāñ
ḳhvāb hairāñ Dagar Dagar ḳhāmosh
duur tak sirf gard phailī hai
rāste chup haiñ aur shajar ḳhāmosh
hādse kis kī raah takte haiñ
kis liye hai ye rah-guzar ḳhāmosh
phul mahke hue hain ghar KHamosh
chandni hai idhar udhar KHamosh
shor uTTha tha thoDa aankhon mein
ho gai phir ye rahguzar KHamosh
chiKHta phir raha tha galiyon mein
mujh mein aa kar hua hai Dar KHamosh
kaun un raston se guzra hai
manzaron ke pare nazar KHamosh
ja-ba-ja mil rahe hain kis ke nishan
KHwab hairan Dagar Dagar KHamosh
dur tak sirf gard phaili hai
raste chup hain aur shajar KHamosh
hadse kis ki rah takte hain
kis liye hai ye rah-guzar KHamosh
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.