pit ki chanchal agan thi daera-dar-daera
piit kī chanchal agan thī dā.era-dar-dā.era
raqs meñ koī lagan thī dā.era-dar-dā.era
aas kī sundar kiran thī dā.era-dar-dā.era
shoḳhī-e-rang-e-chaman thī dā.era-dar-dā.era
ḳhud meñ hī kitnī magan thī dā.era-dar-dā.era
justujū jo be-thakan thī dā.era-dar-dā.era
chuTkiyāñ letā rahā thā hādisa ik qurb kā
nāchtī shītal pavan thī dā.era-dar-dā.era
ujlī ujlī raushnī se kheltī thī dam-ba-dam
terī zulf-e-pur-shikan thī dā.era-dar-dā.era
chehra chehra kuchh na.ī be-tābiyoñ se āshnā
soch kī dilbar thakan thī dā.era-dar-dā.era
dam-ba-dam āñkhoñ meñ raqsāñ nit-na.e andāz se
shoḳhī-e-sīmīñ-badan thī dā.era-dar-dā.era
chand nā-karda gunāhoñ ke tavāf-e-shauq meñ
fikr-o-fan kī ik jhanan thī dā.era-dar-dā.era
phir kisī harf-e-tahī kā zā.iqa lab par liye
ek chintā tan-badan thī dā.era-dar-dā.era
ik javāñ sī sansanāhaT kā daraḳhshāñ silsila
ārzūoñ kī phaban thī dā.era-dar-dā.era
ubhre sīnoñ kī machaltī marmarīñ sī tāzgī
kis qadar tauba-shikan thī dā.era-dar-dā.era
pit ki chanchal agan thi daera-dar-daera
raqs mein koi lagan thi daera-dar-daera
aas ki sundar kiran thi daera-dar-daera
shoKHi-e-rang-e-chaman thi daera-dar-daera
KHud mein hi kitni magan thi daera-dar-daera
justuju jo be-thakan thi daera-dar-daera
chuTkiyan leta raha tha hadisa ek qurb ka
nachti shital pawan thi daera-dar-daera
ujli ujli raushni se khelti thi dam-ba-dam
teri zulf-e-pur-shikan thi daera-dar-daera
chehra chehra kuchh nai be-tabiyon se aashna
soch ki dilbar thakan thi daera-dar-daera
dam-ba-dam aankhon mein raqsan nit-nae andaz se
shoKHi-e-simin-badan thi daera-dar-daera
chand na-karda gunahon ke tawaf-e-shauq mein
fikr-o-fan ki ek jhanan thi daera-dar-daera
phir kisi harf-e-tahi ka zaiqa lab par liye
ek chinta tan-badan thi daera-dar-daera
ek jawan si sansanahaT ka daraKHshan silsila
aarzuon ki phaban thi daera-dar-daera
ubhre sinon ki machalti marmarin si tazgi
kis qadar tauba-shikan thi daera-dar-daera
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.