qafila ja ke usi dasht mein Thahra apna
qāfila jā ke usī dasht meñ Thahrā apnā
ḳhud pe rakhte haiñ jahāñ peḌ bhī saayā apnā
us jagah le ke mujhe tishna-labī aa.ī hai
ḳhud hī pī letā hai paanī jahāñ dariyā apnā
ham kisī ġhair ke sharminda-e-ehsān na hue
ham ne ḳhud baḌh ke uThāyā hai janāzā apnā
ugtī rahtī haiñ yahāñ shams-o-qamar kī fasleñ
kyā kamī ham ko salāmat rahe sahrā apnā
log hī saare bure haiñ ki kamī tujh meñ hai
ā.īna rakh ke zarā dekh tū chehrā apnā
rāhbar mujh ko nahīñ chāhiye terī manzil
mere qadmoñ se uThā le jā ye rastā apnā
fāsla apnoñ se kuchh aur baḌhā aur baḌhā
hoñge sab apne agar koī na hogā apnā
vaqf hai roz-e-azal hī se kisī aur ke naam
apne kis kaam kā hai ḳhuun pasīnā apnā
un charāġhoñ se kabhī lau na lagānā 'kāzim'
jin ko ḳhud apne liye kam hai ujālā apnā
qafila ja ke usi dasht mein Thahra apna
KHud pe rakhte hain jahan peD bhi saya apna
us jagah le ke mujhe tishna-labi aai hai
KHud hi pi leta hai pani jahan dariya apna
hum kisi ghair ke sharminda-e-ehsan na hue
hum ne KHud baDh ke uThaya hai janaza apna
ugti rahti hain yahan shams-o-qamar ki faslen
kya kami hum ko salamat rahe sahra apna
log hi sare bure hain ki kami tujh mein hai
aaina rakh ke zara dekh tu chehra apna
rahbar mujh ko nahin chahiye teri manzil
mere qadmon se uTha le ja ye rasta apna
fasla apnon se kuchh aur baDha aur baDha
honge sab apne agar koi na hoga apna
waqf hai roz-e-azal hi se kisi aur ke nam
apne kis kaam ka hai KHun pasina apna
un charaghon se kabhi lau na lagana 'kazim'
jin ko KHud apne liye kam hai ujala apna
- Book : کتاب سنگ (Pg. 27)
- Author : کاظم جرولی
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.