qadam jo rah-e-mohabbat mein thakne lagta hai
qadam jo rah-e-mohabbat mein thakne lagta hai
Krishn Gopal Maghmum
MORE BYKrishn Gopal Maghmum
qadam jo rāh-e-mohabbat meñ thakne lagtā hai
har ek zarra-e-manzil chamakne lagtā hai
vo jis ne pī ho zarā sī bhī eqtidār kī mai
har ek bazm meñ kyā kyā bahakne lagtā hai
banāne vaalī ho paivand-e-ḳhāk jis ko havā
vo ġhuncha vaqt se pahle chaTakne lagtā hai
nigāh-e-shauq meñ shāmil jo ho ḳhulūs-o-niyāz
naqāb-e-rū-e-daraḳhshāñ sarakne lagtā hai
tumhārī mahkī huī zulf ke tasavvur se
mirā jahān-e-taḳhayyul mahakne lagtā hai
kabhī kabhār jo hotī hai chaah piine kī
nigāh-e-nāz kā sāġhar chhalakne lagtā hai
qarīb-e-shām havā.eñ jo aah bhartī haiñ
kisī kī yaad kā kāñTā khaTakne lagtā hai
shab-e-firāq kī zulmat-farosh vaadī meñ
vo māhtāb-e-tamanna chamakne lagtā hai
dabā chukā huuñ jise ḳhāk-e-dil meñ maiñ yā-rab
vo sho.ala az-sar-e-nau kyoñ bhaḌakne lagtā hai
rukā huā thā jo āñkhoñ meñ jaane kyoñ 'maġhmūm
vo buuñd buuñd lahū phir Tapakne lagtā hai
qadam jo rah-e-mohabbat mein thakne lagta hai
har ek zarra-e-manzil chamakne lagta hai
wo jis ne pi ho zara si bhi eqtidar ki mai
har ek bazm mein kya kya bahakne lagta hai
banane wali ho paiwand-e-KHak jis ko hawa
wo ghuncha waqt se pahle chaTakne lagta hai
nigah-e-shauq mein shamil jo ho KHulus-o-niyaz
naqab-e-ru-e-daraKHshan sarakne lagta hai
tumhaari mahki hui zulf ke tasawwur se
mera jahan-e-taKHayyul mahakne lagta hai
kabhi kabhaar jo hoti hai chah pine ki
nigah-e-naz ka saghar chhalakne lagta hai
qarib-e-sham hawaen jo aah bharti hain
kisi ki yaad ka kanTa khaTakne lagta hai
shab-e-firaq ki zulmat-farosh wadi mein
wo mahtab-e-tamanna chamakne lagta hai
daba chuka hun jise KHak-e-dil mein main ya-rab
wo shoala az-sar-e-nau kyon bhaDakne lagta hai
ruka hua tha jo aankhon mein jaane kyon 'maghmum
wo bund bund lahu phir Tapakne lagta hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.