qaid hain yun gardish-e-haalat mein
qaid haiñ yuuñ gardish-e-hālāt meñ
farq hī koī nahīñ din raat meñ
ab to in āñkhoñ meñ aañsū bhī nahīñ
qaht paanī kā huā barsāt meñ
miT ga.iiñ pal-bhar meñ saarī talḳhiyāñ
kitnī shīrīnī hai terī baat meñ
shahr ke hangāme jin ke dam se the
ho ga.e mahsūr apnī zaat meñ
tum ko da.avā hai karāmat kā bahut
koī sūraj to uchhālo raat meñ
kis tarah ho bandagī kā haq adā
zehn uljhā hai manāt-o-lāt meñ
ek hī rab kī ibādat hai ravā
bible qur.ān meñ taurāt meñ
vaqt ke zulmat-kade se pūchhiye
kitne sūraj gum haiñ terī zaat meñ
Thokareñ un kā muqaddar haiñ 'nadīm'
ġharq haiñ jo aish ke lamhāt meñ
qaid hain yun gardish-e-haalat mein
farq hi koi nahin din raat mein
ab to in aankhon mein aansu bhi nahin
qaht pani ka hua barsat mein
miT gain pal-bhar mein sari talKHiyan
kitni shirini hai teri baat mein
shahr ke hangame jin ke dam se the
ho gae mahsur apni zat mein
tum ko dawa hai karamat ka bahut
koi suraj to uchhaalo raat mein
kis tarah ho bandagi ka haq ada
zehn uljha hai manat-o-lat mein
ek hi rab ki ibaadat hai rawa
bible quran mein tauraat mein
waqt ke zulmat-kade se puchhiye
kitne suraj gum hain teri zat mein
Thokaren un ka muqaddar hain 'nadim'
gharq hain jo aish ke lamhat mein
- Book : سراب دشت امکاں(غزلیات) (Pg. 85)
- Author : ڈاکٹر امتیاز ندیم
- Publication : مکتبہ نعیمہ صدر بازار(مئو ناتھ بھنجن) (2020)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.