qalam se apne tasawwur ko qaid karne ka
qalam se apne tasavvur ko qaid karne kā
maiñ kaam kartā huuñ ġhazloñ meñ rang bharne kā
koī talāsh koī justujū to lāzim hai
yuuñ baiThe baiThe muqaddar nahīñ sañvarne kā
ye bachpane meñ diyā thā sabaq buzurgoñ ne
sivā ḳhudā ke kisī se nahīñ hai Darne kā
hamārī maut hī aa kar ise utāregī
ki jiite jī to nahīñ bojh ye utarne kā
qalīl vaqt masāfat tavīl hai yaaro
savāl hī nahīñ uThtā kahīñ Thaharne kā
hameñ to saath hī jiinā hai aur marnā bhī
yahī usuul hai duniyā meñ pyaar karne kā
ab is ko she'r meñ tabdīl yaar kaise kareñ
hamāre sāmne ik qāfiya hai jharne kā
kisī kī yaad ne pahre biThā diye haiñ 'samar'
ab is taraf se koī ġham nahīñ guzarne kā
qalam se apne tasawwur ko qaid karne ka
main kaam karta hun ghazlon mein rang bharne ka
koi talash koi justuju to lazim hai
yun baiThe baiThe muqaddar nahin sanwarne ka
ye bachpane mein diya tha sabaq buzurgon ne
siwa KHuda ke kisi se nahin hai Darne ka
hamari maut hi aa kar ise utaregi
ki jite ji to nahin bojh ye utarne ka
qalil waqt masafat tawil hai yaro
sawal hi nahin uThta kahin Thaharne ka
hamein to sath hi jina hai aur marna bhi
yahi usul hai duniya mein pyar karne ka
ab is ko she'r mein tabdil yar kaise karen
hamare samne ek qafiya hai jharne ka
kisi ki yaad ne pahre biTha diye hain 'samar'
ab is taraf se koi gham nahin guzarne ka
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.