rabta rakh tirgi se raushni ko chhoD de
rābta rakh tīrgī se raushnī ko chhoḌ de
jo aziyyat-nāk ho aisī ḳhushī ko chhoḌ de
jānte sab haiñ ki is ke baad hai daur-e-ḳhizāñ
kyuuñ na dāmān-e-bahār-e-zindagī ko chhoḌ de
vaqt apne aap meñ ik fitna-e-bedār hai
vaqt ke kahne pe koī kyuuñ kisī ko chhoḌ de
is se pahle tujh ko nazroñ se girā de ye jahāñ
maan le kahnā ḳhudārā be-hisī ko chhoḌ de
vaqt par 'anjum' na tere kaam aa.egā koī
dostoñ se pher le muñh dostī ko chhoḌ de
rabta rakh tirgi se raushni ko chhoD de
jo aziyyat-nak ho aisi KHushi ko chhoD de
jaante sab hain ki is ke baad hai daur-e-KHizan
kyun na daman-e-bahaar-e-zindagi ko chhoD de
waqt apne aap mein ek fitna-e-bedar hai
waqt ke kahne pe koi kyun kisi ko chhoD de
is se pahle tujh ko nazron se gira de ye jahan
man le kahna KHudara be-hisi ko chhoD de
waqt par 'anjum' na tere kaam aaega koi
doston se pher le munh dosti ko chhoD de
- Book : احساس کے نشاں (Pg. 31)
- Author : قمر انجم
- Publication : ایم آر پبلی کیشن (2018)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.