rah-gum-karda hain qadmon ke nishan hote hue
rāh-gum-karda haiñ qadmoñ ke nishāñ hote hue
be-gharī kā dard sahte haiñ makāñ hote hue
kab talak karte raheñge shikva-e-kam-mā.egī
apne qadmoñ meñ zamīn-o-āsmāñ hote hue
zulmatoñ meñ qaid ho kar rah ga.ī hai zindagī
ilm-o-fan ke nuur kā sail-e-ravāñ hote hue
be-zarī kī dhund meñ gum ho ga.ī ye zindagī
daulat-e-husn-o-jamāl-e-zar-fashāñ hote hue
rāstoñ kā jurm kyā hai manziloñ kī kyā ḳhatā
qaum jab ḳhud gum hai mīr-e-kārvāñ hote hue
mausamoñ ke rang kī pahchān bhī ham ko nahīñ
muntazir phūloñ ke haiñ daur-e-ḳhizāñ hote hue
kyā kareñ ham be-kafan lāshoñ ke a.adād-o-shumār
āriz-o-lab kī sunahrī dāstāñ hote hue
apne hāthoñ ke qalam bhī ab ugalte haiñ lahū
shahd-e-lab husn-e-adā tarz-e-bayāñ hote hue
inhitāt aisā ki sharm aatī hai apne aap se
ham zamīñ par haiñ nishān-e-āsmāñ hote hue
kyoñ hoñ sharminda bhalā tahzīb kī qadreñ 'nadīm'
apne ghar meñ daulat-e-urdu-zabāñ hote hue
rah-gum-karda hain qadmon ke nishan hote hue
be-ghari ka dard sahte hain makan hote hue
kab talak karte rahenge shikwa-e-kam-maegi
apne qadmon mein zamin-o-asman hote hue
zulmaton mein qaid ho kar rah gai hai zindagi
ilm-o-fan ke nur ka sail-e-rawan hote hue
be-zari ki dhund mein gum ho gai ye zindagi
daulat-e-husn-o-jamal-e-zar-fashan hote hue
raston ka jurm kya hai manzilon ki kya KHata
qaum jab KHud gum hai mir-e-karwan hote hue
mausamon ke rang ki pahchan bhi hum ko nahin
muntazir phulon ke hain daur-e-KHizan hote hue
kya karen hum be-kafan lashon ke aadad-o-shumar
aariz-o-lab ki sunahri dastan hote hue
apne hathon ke qalam bhi ab ugalte hain lahu
shahd-e-lab husn-e-ada tarz-e-bayan hote hue
inhitat aisa ki sharm aati hai apne aap se
hum zamin par hain nishan-e-asman hote hue
kyon hon sharminda bhala tahzib ki qadren 'nadim'
apne ghar mein daulat-e-urdu-zaban hote hue
- Book : سراب دشت امکاں(غزلیات) (Pg. 55)
- Author : ڈاکٹر امتیاز ندیم
- Publication : مکتبہ نعیمہ صدر بازار(مئو ناتھ بھنجن) (2020)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.