ranai-e-hayat hui kam hai in dinon
ra.anā.ī-e-hayāt huī kam hai in dinoñ
yādash-ba-ḳhair ziist ko ik ġham hai in dinoñ
vo din ga.e ki qatra-e-shabnam thī kā.enāt
dil apnā ab to qatra-e-shabnam hai in dinoñ
fikr-e-bahār hai na to gulshan kī yaad hai
le de ke ek terā hī bas ġham hai in dinoñ
rāh-e-vafā meñ Thokareñ khātā jabhī to huuñ
qismat meñ apnī laġhzish-e-paiham hai in dinoñ
āñkheñ churātā phirtā huuñ har jalva-gāh se
Dartā huuñ raushnī se ye 'ālam hai in dinoñ
ai vā.iz-e-harīs mubārak tujhe vo ḳhuld
merī nazar meñ ḳhuld-e-do-ālam hai in dinoñ
farmā.ish-e-ḳhumār pe kaise kahūñ ġhazal
mashq-e-suḳhan bhī dekhiye ab kam hai in dinoñ
'dīvān' kis ḳhushī meñ chale jhūmte hue
kyā phir kisī se rishta-e-mohkam hai in dinoñ
ranai-e-hayat hui kam hai in dinon
yaadash-ba-KHair zist ko ek gham hai in dinon
wo din gae ki qatra-e-shabnam thi kaenat
dil apna ab to qatra-e-shabnam hai in dinon
fikr-e-bahaar hai na to gulshan ki yaad hai
le de ke ek tera hi bas gham hai in dinon
rah-e-wafa mein Thokaren khata jabhi to hun
qismat mein apni laghzish-e-paiham hai in dinon
aankhen churaata phirta hun har jalwa-gah se
Darta hun raushni se ye 'alam hai in dinon
ai waiz-e-haris mubarak tujhe wo KHuld
meri nazar mein KHuld-e-do-alam hai in dinon
farmaish-e-KHumar pe kaise kahun ghazal
mashq-e-suKHan bhi dekhiye ab kam hai in dinon
'diwan' kis KHushi mein chale jhumte hue
kya phir kisi se rishta-e-mohkam hai in dinon
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.