raat ke Khaali fooTpathon par ghumna phirna sochte rahna
raat ke ḳhālī fōTpāthoñ par ghūmnā phirnā sochte rahnā
aañkh meñ jāgtī nīñdeñ le kar ghūmnā phirnā sochte rahnā
bahke bahke lahje meñ kuchh bāteñ karnā chup ho jaanā
kholte rahnā ḳhvāboñ ke dar ghūmnā phirnā sochte rahnā
yādoñ ke dar-band darīchoñ meñ āñkheñ laTkā.e rakhnā
ginnā apne hī TuuTe par ghūmnā phirnā sochte rahnā
be-ḳhvābī kī mish.al le kar niiñd kā rasta DhūñDnā 'anvar'
khule hue haiñ raat ke dar par ghūmnā phirnā sochte rahnā
raat ke KHali fooTpathon par ghumna phirna sochte rahna
aankh mein jagti ninden le kar ghumna phirna sochte rahna
bahke bahke lahje mein kuchh baaten karna chup ho jaana
kholte rahna KHwabon ke dar ghumna phirna sochte rahna
yaadon ke dar-band darichon mein aankhen laTkae rakhna
ginna apne hi TuTe par ghumna phirna sochte rahna
be-KHwabi ki mishal le kar nind ka rasta DhunDna 'anwar'
khule hue hain raat ke dar par ghumna phirna sochte rahna
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.