rahe dhup mein KHushk shajar ki tarah
rahe dhuup meñ ḳhushk shajar kī tarah
piye dard bhī rāhguzar kī tarah
kabhī moḌ kabhī hai nasheb-o-farāz
ki hai zindagī ek safar kī tarah
na to paikar-e-nūr na paikar-e-tār
rahe aadmī ek bashar kī tarah
jo ġhurūb ho shams sameT le chāñd
ho tulūa kabhī to sahar kī tarah
rahe aag meñ bhī kabhī phuul bane
rahe barf meñ bhī to sharar kī tarah
khile dasht meñ ek gulāb kī misl
phale baaġh meñ mīThe samar kī tarah
kabhī koh-e-girāñ se rahe na hirās
jo uThe bhī to gaam 'zafar' kī tarah
rahe dhup mein KHushk shajar ki tarah
piye dard bhi rahguzar ki tarah
kabhi moD kabhi hai nasheb-o-faraaz
ki hai zindagi ek safar ki tarah
na to paikar-e-nur na paikar-e-tar
rahe aadmi ek bashar ki tarah
jo ghurub ho shams sameT le chand
ho tulua kabhi to sahar ki tarah
rahe aag mein bhi kabhi phul bane
rahe barf mein bhi to sharar ki tarah
khile dasht mein ek gulab ki misl
phale bagh mein miThe samar ki tarah
kabhi koh-e-giran se rahe na hiras
jo uThe bhi to gam 'zafar' ki tarah
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.