rahen KHilaf mere zahr bhi ugalne lagen
raheñ ḳhilāf mire zahr bhī ugalne lageñ
magar na itnā ki milne pe haath malne lageñ
to kyā badal luuñ maiñ apnā mizāj un kī tarah
jo ban ke saañp mirī āstīñ meñ palne lageñ
samajhnā ishq kī me.arāj mil ga.ī hai mujhe
mire mazār pe jab bhī charāġh jalne lageñ
bahut sañbhāl ke rakhtā huuñ khoTe sikke maiñ
ajab nahīñ ki kisī roz ye bhī chalne lageñ
hai aarzū ki vo Dāleñ nigāh-e-shoḳh idhar
jabīn-e-shauq meñ sajde ka.ī machalne lageñ
tumhārī yādoñ kī ḳhushbū fazāoñ meñ bikhre
havā.eñ mere irādoñ kī samt chalne lageñ
junūn-e-ishq hameñ hosh itnā rahne de
ki laḌkhaḌā.eñ agar ham to ḳhud sañbhalne lageñ
charāġh is liye shab ko nahīñ jalātā maiñ
kahīñ na saa.e mire hī mujhe nigalne lageñ
ab aise mom badan bhī nahīñ 'fahīm' ki ham
zarā sī garmī-e-ālām se pighalne lageñ
rahen KHilaf mere zahr bhi ugalne lagen
magar na itna ki milne pe hath malne lagen
to kya badal lun main apna mizaj un ki tarah
jo ban ke sanp meri aastin mein palne lagen
samajhna ishq ki mearaj mil gai hai mujhe
mere mazar pe jab bhi charagh jalne lagen
bahut sanbhaal ke rakhta hun khoTe sikke main
ajab nahin ki kisi roz ye bhi chalne lagen
hai aarzu ki wo Dalen nigah-e-shoKH idhar
jabin-e-shauq mein sajde kai machalne lagen
tumhaari yaadon ki KHushbu fazaon mein bikhre
hawaen mere iradon ki samt chalne lagen
junun-e-ishq hamein hosh itna rahne de
ki laDkhaDaen agar hum to KHud sanbhalne lagen
charagh is liye shab ko nahin jalata main
kahin na sae mere hi mujhe nigalne lagen
ab aise mom badan bhi nahin 'fahim' ki hum
zara si garmi-e-alam se pighalne lagen
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.