rahi hai yun hi nadamat mujhe muqaddar se
rahī hai yuuñ hī nadāmat mujhe muqaddar se
guzar rahī hai sabā jis tarah mire ghar se
chaḌhā hai shauq mujhe zabt āzmāne kā
likhūñ fasāna koī aa.ine pe patthar se
musāfiroñ sā kabhī jab maiñ shahr se guzrā
to rāstoñ meñ ka.ī rāste the banjar se
tumhāre ġham ne Duboyā hai par pukāro to
maiñ lauT aa.uuñ usī pal kisī samundar se
maze kī ThanD ġharīboñ kī āstīn meñ hai
tum aa ke dekh lo fōt-pāth par bhī bistar se
rahi hai yun hi nadamat mujhe muqaddar se
guzar rahi hai saba jis tarah mere ghar se
chaDha hai shauq mujhe zabt aazmane ka
likhun fasana koi aaine pe patthar se
musafiron sa kabhi jab main shahr se guzra
to raston mein kai raste the banjar se
tumhaare gham ne Duboya hai par pukaro to
main lauT aaun usi pal kisi samundar se
maze ki ThanD gharibon ki aastin mein hai
tum aa ke dekh lo foot-path par bhi bistar se
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.