raunaq-e-dil the jo aankhon mein samae hue log
raunaq-e-dil the jo āñkhoñ meñ samā.e hue log
ho ga.e ḳhvāb sabhī ḳhvāb dikhā.e hue log
dil kī daulat ko zamāne pe luTā.e hue log
der se pahuñche haiñ ham duur se aa.e hue log
jaise yak-laḳht kisī haath se motī chhūTe
is tarah ḳharch hue saare kamā.e hue log
tū ne jis ko bhī chhuā pāra-sifat kar Daalā
haath aa.e na tire haath lagā.e hue log
chāñd se chamke hue mahke hue phūloñ se
kaise hoñge vo tire qurb ko paa.e hue log
mujh ko samjhāte haiñ ādāb-e-nashist-o-barḳhāst
mere samjhā.e hue mere sikhā.e hue log
kisī mazlūm kī taklīf bhalā kyā jāneñ
chaltī phirtī huī lāshoñ meñ samā.e hue log
yak-ba-yak phail ga.ī 'nūr' fazā meñ vahshat
chalte chalte mire atrāf se saa.e hue log
raunaq-e-dil the jo aankhon mein samae hue log
ho gae KHwab sabhi KHwab dikhae hue log
dil ki daulat ko zamane pe luTae hue log
der se pahunche hain hum dur se aae hue log
jaise yak-laKHt kisi hath se moti chhuTe
is tarah KHarch hue sare kamae hue log
tu ne jis ko bhi chhua para-sifat kar Dala
hath aae na tere hath lagae hue log
chand se chamke hue mahke hue phulon se
kaise honge wo tere qurb ko pae hue log
mujh ko samjhate hain aadab-e-nashist-o-barKHast
mere samjhae hue mere sikhae hue log
kisi mazlum ki taklif bhala kya jaanen
chalti phirti hui lashon mein samae hue log
yak-ba-yak phail gai 'nur' faza mein wahshat
chalte chalte mere atraf se sae hue log
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.