raushan har ek samt charagh-e-nazar to ho
raushan har ek samt charāġh-e-nazar to ho
hukm-e-safar se pahle hisāb-e-safar to ho
is shahr kā sukūt kabhī TūTtā nahīñ
chīḳhūñ to merī chīḳh meñ koī asar to ho
maiñ to siyāh raat ke zindāñ meñ huuñ asiir
saaya mirā kahāñ hai mujhe kuchh ḳhabar to ho
paanī kā ye bahāo nadī kī shanāḳht hai
ab mere barf barf badan meñ sharar to ho
fasl-e-bahār se maiñ karūñ iltijā-e-gul
sahrā-e-be-kanār meñ koī shajar to ho
chāroñ taraf dhuāñ hī dhuāñ hai fazāoñ meñ
manzar koī khule kabhī nūr-e-sahar to ho
āñdhī chale aur us meñ jalā deñ koī charāġh
'shāhid' hamāre haath meñ aisā hunar to ho
raushan har ek samt charagh-e-nazar to ho
hukm-e-safar se pahle hisab-e-safar to ho
is shahr ka sukut kabhi TuTta nahin
chiKHun to meri chiKH mein koi asar to ho
main to siyah raat ke zindan mein hun asir
saya mera kahan hai mujhe kuchh KHabar to ho
pani ka ye bahao nadi ki shanaKHt hai
ab mere barf barf badan mein sharar to ho
fasl-e-bahaar se main karun iltija-e-gul
sahra-e-be-kanar mein koi shajar to ho
chaaron taraf dhuan hi dhuan hai fazaon mein
manzar koi khule kabhi nur-e-sahar to ho
aandhi chale aur us mein jala den koi charagh
'shahid' hamare hath mein aisa hunar to ho
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.