ret mein kitni hi sipiyan dafn hain jin ke sinon se gauhar nikalte rahe
ret mein kitni hi sipiyan dafn hain jin ke sinon se gauhar nikalte rahe
Zahoor Biswani
MORE BYZahoor Biswani
ret meñ kitnī hī sīpiyāñ dafn haiñ jin ke sīnoñ se gauhar nikalte rahe
aur samundar meñ aise sadaf bhī haiñ jo motiyoñ ke liye haath malte rahe
rāh-e-ġham kī masāfat bhī kyā ḳhuub thī ḳhud hī girte rahe ḳhud sañbhalte rahe
rāsta bhī nayā thā safar bhī nayā jis taraf uTh ga.e paañv chalte rahe
aa.e auroñ ke dāman meñ to phuul bhī apne dāman meñ aañsū hī palte rahe
ham to majbūr ke taaq ke diip haiñ ḳhud hī bujhte rahe ḳhud hī jalte rahe
raaz kaisā bhī ho raaz phir raaz hai rāz-dāñ maiñ ne apnā banāyā nahīñ
maslak-e-ishq meñ ye baḌā jurm thā dil ke armān dil meñ machalte rahe
os se pyaas kis tarah bujhtī mirī jhulse jīvan ko ḳhvāhish thī barsāt kī
khetiyāñ vo jo pahle se shādāb thiiñ un pe din-rāt bādal machalte rahe
rahbaroñ kī siyāsat na kuchh pūchhiye rahzanoñ kī hifāzat na kuchh dekhiye
ḳhvāb tiryāk ke bhī sañvarte rahe saañp bhī āstīnoñ meñ palte rahe
laakh tūfān aa.e chalīñ āñdhiyāñ pattharoñ kī bhī barsāt hotī rahī
aise ashjār bhī is chaman meñ mile zulm sahte rahe aur phisalte rahe
aag firqa-parastī kī aisī lagī jo na ab tak kisī ke bujhā.e bujhī
rahnumā amn kā svāñg rachte rahe aur gharoñ se janāze nikalte rahe
kis qadar ban ga.e aaj vo sang-dil jin ke hāthoñ meñ patthar kabhī mom thā
ye na un kī samajh meñ 'zuhūr' aa sakā kitne sūraj andhere nigalte rahe
ret mein kitni hi sipiyan dafn hain jin ke sinon se gauhar nikalte rahe
aur samundar mein aise sadaf bhi hain jo motiyon ke liye hath malte rahe
rah-e-gham ki masafat bhi kya KHub thi KHud hi girte rahe KHud sanbhalte rahe
rasta bhi naya tha safar bhi naya jis taraf uTh gae panw chalte rahe
aae auron ke daman mein to phul bhi apne daman mein aansu hi palte rahe
hum to majbur ke taq ke dip hain KHud hi bujhte rahe KHud hi jalte rahe
raaz kaisa bhi ho raaz phir raaz hai raaz-dan main ne apna banaya nahin
maslak-e-ishq mein ye baDa jurm tha dil ke arman dil mein machalte rahe
os se pyas kis tarah bujhti meri jhulse jiwan ko KHwahish thi barsat ki
khetiyan wo jo pahle se shadab thin un pe din-raat baadal machalte rahe
rahbaron ki siyasat na kuchh puchhiye rahzanon ki hifazat na kuchh dekhiye
KHwab tiryak ke bhi sanwarte rahe sanp bhi aastinon mein palte rahe
lakh tufan aae chalin aandhiyan pattharon ki bhi barsat hoti rahi
aise ashjar bhi is chaman mein mile zulm sahte rahe aur phisalte rahe
aag firqa-parasti ki aisi lagi jo na ab tak kisi ke bujhae bujhi
rahnuma amn ka swang rachte rahe aur gharon se janaze nikalte rahe
kis qadar ban gae aaj wo sang-dil jin ke hathon mein patthar kabhi mom tha
ye na un ki samajh mein 'zuhur' aa saka kitne suraj andhere nigalte rahe
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.