roz-e-azal se waqif-e-asrar main hi tha
roz-e-azal se vāqif-e-asrār maiñ hī thā
pākīzgī-e-nafs kā me.aar maiñ hī thā
āsā.isheñ tamām mayassar thiiñ ḳhuld meñ
duniyā-e-ranj-o-ġham kā talabgār maiñ hī thā
ahl-e-ḳhirad ko is kā rahā umr-bhar malāl
ahl-e-junūñ meñ sāhab-e-dastār maiñ hī thā
duniyā ne sulh-e-kul kā payāmī kahā magar
do bhā.iyoñ ke biich meñ dīvār maiñ hī thā
sab log mere shahr meñ āzar-parast the
haañ but-garī kī rasm se bezār maiñ hī thā
tahzīb-e-zindagānī-e-ādam ke vāste
zulmat-kade meñ matla-e-anvār maiñ hī thā
ahbāb kī navāzish-e-paiham se ye lagā
is shahr meñ akelā qalamkār maiñ hī thā
taslīm kar chukā hai zamāna ise 'nadīm'
manzil-shanās qāfila-sālār maiñ hī thā
roz-e-azal se waqif-e-asrar main hi tha
pakizgi-e-nafs ka mear main hi tha
aasaishen tamam mayassar thin KHuld mein
duniya-e-ranj-o-gham ka talabgar main hi tha
ahl-e-KHirad ko is ka raha umr-bhar malal
ahl-e-junun mein sahab-e-dastar main hi tha
duniya ne sulh-e-kul ka payami kaha magar
do bhaiyon ke bich mein diwar main hi tha
sab log mere shahr mein aazar-parast the
han but-gari ki rasm se bezar main hi tha
tahzib-e-zindagani-e-adam ke waste
zulmat-kade mein matla-e-anwar main hi tha
ahbab ki nawazish-e-paiham se ye laga
is shahr mein akela qalamkar main hi tha
taslim kar chuka hai zamana ise 'nadim'
manzil-shanas qafila-salar main hi tha
- Book : سراب دشت امکاں(غزلیات) (Pg. 49)
- Author : ڈاکٹر امتیاز ندیم
- Publication : مکتبہ نعیمہ صدر بازار(مئو ناتھ بھنجن) (2020)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.