ruKH se fitrat ke hijabaat uTha deta hai
ruḳh se fitrat ke hijābāt uThā detā hai
aa.ina TuuT ke patthar ko sadā detā hai
azmat-e-ahl-e-vafā aur baḌhā detā hai
ġham-e-musalsal ho to phir ġham bhī mazā detā hai
dil dhaḌaktā hai to pahroñ nahīñ sone detā
niiñd aatī hai to ehsās jagā detā hai
tum ne shāyad kabhī is baat ko sochā hogā
vaqt hāthoñ kī lakīreñ bhī miTā detā hai
jo mire qatl ke darpai thā na jaane kab se
aaj vo bhī mujhe jiine kī duā detā hai
apne kirdār pe maujoñ ko bhī sharm aatī hai
jab koī Duub ke sāhil kā patā detā hai
ġham kī taufīq bhī sab ko nahīñ miltī 'gauhar'
ye vo ne.amat hai jo mushkil se ḳhudā detā hai
ruKH se fitrat ke hijabaat uTha deta hai
aaina TuT ke patthar ko sada deta hai
azmat-e-ahl-e-wafa aur baDha deta hai
gham-e-musalsal ho to phir gham bhi maza deta hai
dil dhaDakta hai to pahron nahin sone deta
nind aati hai to ehsas jaga deta hai
tum ne shayad kabhi is baat ko socha hoga
waqt hathon ki lakiren bhi miTa deta hai
jo mere qatl ke darpai tha na jaane kab se
aaj wo bhi mujhe jine ki dua deta hai
apne kirdar pe maujon ko bhi sharm aati hai
jab koi Dub ke sahil ka pata deta hai
gham ki taufiq bhi sab ko nahin milti 'gauhar'
ye wo neamat hai jo mushkil se KHuda deta hai
- Book : Idraaq (Pg. 91)
- Author : Gohar Usmani
- Publication : Gohar Usmani (1993)
- Edition : 1993
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.