ru-e-suKHan janab ki jaanib kabhi na tha
rū-e-suḳhan janāb kī jānib kabhī na thā
āvāz ko udhar bhī uḌā le ga.ī havā
jangal ke ek goshe meñ thā merā naqsh-e-pā
chal chal ke us hujūm ne bilkul miTā diyā
lau de uThā thā merī lapaT se har ik hijāb
dāman hī bach gayā thā ise kyoñ bachā liyā
ghar meñ ghanā añdherā hai bāhar siyāh raat
aise meñ kis ne ḳhvāb-e-sahar se jagā diyā
andar nuqūsh-e-pā-o-sadā jāvedāñ hue
bāhar nuqūsh-e-pā-o-sadā kuchh na bach sakā
ru-e-suKHan janab ki jaanib kabhi na tha
aawaz ko udhar bhi uDa le gai hawa
jangal ke ek goshe mein tha mera naqsh-e-pa
chal chal ke us hujum ne bilkul miTa diya
lau de uTha tha meri lapaT se har ek hijab
daman hi bach gaya tha ise kyon bacha liya
ghar mein ghana andhera hai bahar siyah raat
aise mein kis ne KHwab-e-sahar se jaga diya
andar nuqush-e-pa-o-sada jawedan hue
bahar nuqush-e-pa-o-sada kuchh na bach saka
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.