sae ki tarah koi mere sath laga tha
saa.e kī tarah koī mire saath lagā thā
kyā ghar kī tarah dasht bhī āseb-zada thā
pursish ko na thā koī to tanhā thā bahut maiñ
mahrūm jo thā sab se ḳhafā rahne lagā thā
har dam na.e ehsās kā tūfān thā dil meñ
kyā jāniye maiñ kaun sī miTTī se banā thā
kyā kyā na pareshānī-e-ḳhātir se guzar aa.e
kyā kyā na paḌe rañj ki dekhā na sunā thā
naale ko usī dil meñ utar jaane kī hasrat
aur nai ko usī bhūlne vaale kā gilā thā
āshuftagī-e-sar kī jo tohmat hai ġhalat hai
maiñ apnī hī ḳhushbū se pareshān phirā thā
ye kaun dil-o-jāñ se ham-āhañg huā hai
is darja to mahsūs ḳhudā bhī na huā thā
sae ki tarah koi mere sath laga tha
kya ghar ki tarah dasht bhi aaseb-zada tha
pursish ko na tha koi to tanha tha bahut main
mahrum jo tha sab se KHafa rahne laga tha
har dam nae ehsas ka tufan tha dil mein
kya jaaniye main kaun si miTTi se bana tha
kya kya na pareshani-e-KHatir se guzar aae
kya kya na paDe ranj ki dekha na suna tha
nale ko usi dil mein utar jaane ki hasrat
aur nai ko usi bhulne wale ka gila tha
aashuftagi-e-sar ki jo tohmat hai ghalat hai
main apni hi KHushbu se pareshan phira tha
ye kaun dil-o-jaan se ham-ahang hua hai
is darja to mahsus KHuda bhi na hua tha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.