sahil se tabiat ghabrai maujon mein safina chhoD diya
sahil se tabiat ghabrai maujon mein safina chhoD diya
Zubaida Tahseen
MORE BYZubaida Tahseen
sāhil se tabī.at ghabrā.ī maujoñ meñ safīna chhoḌ diyā
jiine kī lagan meñ ham hī ne jiine kā qarīna chhoḌ diyā
dāman meñ lagā.ī aag idhar ab un ke karam ko kyā kahiye
tūfān kā ruḳh thā jis ruḳh par kashtī kā udhar ruḳh moḌ diyā
the saath asīr-e-fasl-e-junūñ rāhoñ meñ na jaane kyā guzrī
kyā kahiye ki kis ne saath diyā kyā kahiye ki kis ne chhoḌ diyā
jiine na diyā apnoñ ne hameñ yuuñ zor bhī dil par chal jaatā
kuchh baat hī aisī thī ham ne ik shīsha-e-dil bhī toḌ diyā
chāhā na hamīñ ne varna ye sab chāñd sitāre jhuk jaate
kuchh vaj.h-e-sukūn-e-dil ke liye ham ne vo sahārā chhoḌ diyā
nāzuk thā bahut gulshan kā chalan nāzuk thā bahut ā.īn-e-chaman
phūloñ kī tamannā ham ne na kī kāñToñ hī se rishta joḌ diyā
ro ro ke guzārī shab vaise jab sub.h-e-chaman meñ aañkh khulī
ahbāb-e-vatan ne ai 'tahsīn' mai-ḳhāna-e-yārāñ chhoḌ diyā
sahil se tabiat ghabrai maujon mein safina chhoD diya
jine ki lagan mein hum hi ne jine ka qarina chhoD diya
daman mein lagai aag idhar ab un ke karam ko kya kahiye
tufan ka ruKH tha jis ruKH par kashti ka udhar ruKH moD diya
the sath asir-e-fasl-e-junun rahon mein na jaane kya guzri
kya kahiye ki kis ne sath diya kya kahiye ki kis ne chhoD diya
jine na diya apnon ne hamein yun zor bhi dil par chal jata
kuchh baat hi aisi thi hum ne ek shisha-e-dil bhi toD diya
chaha na hamin ne warna ye sab chand sitare jhuk jate
kuchh wajh-e-sukun-e-dil ke liye hum ne wo sahaara chhoD diya
nazuk tha bahut gulshan ka chalan nazuk tha bahut aain-e-chaman
phulon ki tamanna hum ne na ki kanTon hi se rishta joD diya
ro ro ke guzari shab waise jab subh-e-chaman mein aankh khuli
ahbab-e-watan ne ai 'tahsin' mai-KHana-e-yaran chhoD diya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.