sāmne sab mire hamdam-o-ham-navā sab magar pusht par vaar karte hue
din meñ phūloñ se bhī narm lahja magar raat rāhoñ ko pur-ḳhār karte hue
sāf-goī ne ġham ke sivā kyā diyā phir bhī ham apnī fitrat se majbūr haiñ
jo qasīda-navīsī meñ māhir the vo ḳhush haiñ tausīf-e-sarkār karte hue
apne apne safar par haiñ kab se ravāñ phir bhī kyā baat hai donoñ thakte nahīñ
aap rāhoñ meñ kāñTe bichhāte hue ham zamīnoñ ko gulzār karte hue
jab tarannum kī mīzān meñ fan tule ahl-e-fan ke liye mashvara hai mirā
sang-e-idrāk se apnā sar phoḌ leñ aap me.aar me.aar karte hue
apnī apnī zarūrat unheñ khīñch kar phir qasīdoñ ke bāzār meñ le ga.ī
mere ahbāb kuchh duur tak saath the apne lahjoñ ko talvār karte hue
ek pal kī ḳhushī bhī mayassar nahīñ zindagī kī baḳhīloñ kī ḳhairāt hai
kaT ga.ī zindagī yuuñ to 'farhat' magar ek ik saañs dushvār karte hue
samne sab mere hamdam-o-ham-nawa sab magar pusht par war karte hue
din mein phulon se bhi narm lahja magar raat rahon ko pur-KHar karte hue
saf-goi ne gham ke siwa kya diya phir bhi hum apni fitrat se majbur hain
jo qasida-nawisi mein mahir the wo KHush hain tausif-e-sarkar karte hue
apne apne safar par hain kab se rawan phir bhi kya baat hai donon thakte nahin
aap rahon mein kanTe bichhate hue hum zaminon ko gulzar karte hue
jab tarannum ki mizan mein fan tule ahl-e-fan ke liye mashwara hai mera
sang-e-idrak se apna sar phoD len aap mear mear karte hue
apni apni zarurat unhen khinch kar phir qasidon ke bazar mein le gai
mere ahbab kuchh dur tak sath the apne lahjon ko talwar karte hue
ek pal ki KHushi bhi mayassar nahin zindagi ki baKHilon ki KHairaat hai
kaT gai zindagi yun to 'farhat' magar ek ek sans dushwar karte hue
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.