sans un ke mariz-e-hasrat ki ruk ruk ke chalti jati hai
saañs un ke marīz-e-hasrat kī ruk ruk ke chaltī jaatī hai
māyūs nazar hai dar kī taraf aur jaan nikaltī jaatī hai
chehre se saraktī jaatī hai zulf un kī ḳhvāb ke aalam meñ
vo haiñ ki abhī tak hosh nahīñ aur shab hai ki Dhaltī jaatī hai
allāh ḳhabar bijlī ko na ho gulchīñ kī nigāh-e-bad na paḌe
jis shāḳh pe tinke rakkhe haiñ vo phūltī-phaltī jaatī hai
aariz pe numāyāñ ḳhaal hue phir sabza-e-ḳhat āġhāz huā
qur.āñ to haqīqat meñ hai vahī tafsīr badaltī jaatī hai
tauhīn-e-mohabbat bhī na rahī vo jaur-o-sitam bhī chhūT ga.e
pahle kī ba-nisbat husn kī ab har baat badaltī jaatī hai
laaj apnī masīhā ne rakh lī marne na diyā bīmāroñ ko
jo maut na Talne vaalī thī vo maut bhī Taltī jaatī hai
hai bazm-e-jahāñ meñ nā-mumkin be-ishq salāmat husn rahe
parvāne to jal kar ḳhaak hue ab sham.a bhī jaltī jaatī hai
shikva bhī agar maiñ kartā huuñ to jaur-e-falak kā kartā huuñ
be-vaj.h 'qamar' tāroñ kī nazar kyuuñ mujh se badaltī jaatī hai
sans un ke mariz-e-hasrat ki ruk ruk ke chalti jati hai
mayus nazar hai dar ki taraf aur jaan nikalti jati hai
chehre se sarakti jati hai zulf un ki KHwab ke aalam mein
wo hain ki abhi tak hosh nahin aur shab hai ki Dhalti jati hai
allah KHabar bijli ko na ho gulchin ki nigah-e-bad na paDe
jis shaKH pe tinke rakkhe hain wo phulti-phalti jati hai
aariz pe numayan KHal hue phir sabza-e-KHat aaghaz hua
quran to haqiqat mein hai wahi tafsir badalti jati hai
tauhin-e-mohabbat bhi na rahi wo jaur-o-sitam bhi chhuT gae
pahle ki ba-nisbat husn ki ab har baat badalti jati hai
laj apni masiha ne rakh li marne na diya bimaron ko
jo maut na Talne wali thi wo maut bhi Talti jati hai
hai bazm-e-jahan mein na-mumkin be-ishq salamat husn rahe
parwane to jal kar KHak hue ab shama bhi jalti jati hai
shikwa bhi agar main karta hun to jaur-e-falak ka karta hun
be-wajh 'qamar' taron ki nazar kyun mujh se badalti jati hai
- Book : Auj-Qamar (Pg. 62)
- Author : Ustad Sayed Mohd. Hussain Qamar Jalalvi
- Publication : Shaikh Shokat Ali And Sons (1952)
- Edition : 1952
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.