sabaat dil tha magar be-qarar ho gaya tha
sabāt dil thā magar be-qarār ho gayā thā
vo nuur merī harārat se naar ho gayā thā
havā chalī hī nahīñ ai mahāz-e-rāhguzar
vagarna ḳhaak kā putlā ġhubār ho gayā thā
jab us kī dhuup ne dekhī hamārī surye-mukhī
hamārā naam guloñ meñ shumār ho gayā thā
kahāñ ḳhabar thī ki ye marhala bhī mushkil hai
ki maiñ to pahlī hī koshish meñ paar ho gayā thā
patā chalā ki koī dil thā dil ke andar bhī
kisī kā ġham meñ mire intishār ho gayā thā
ḳhunuk se qatl huī ik sadā-e-tīr-kushī
bas itnī baat thī merā shikār ho gayā thā
hazār haif ke mub.ham huī mirī duniyā
hazār shukr ki tū āshkār ho gayā thā
hazār haif ki pazhmurda ho ga.iiñ āñkheñ
hazār shukr tirā intizār ho gayā thā
sabaat dil tha magar be-qarar ho gaya tha
wo nur meri hararat se nar ho gaya tha
hawa chali hi nahin ai mahaz-e-rahguzar
wagarna KHak ka putla ghubar ho gaya tha
jab us ki dhup ne dekhi hamari surye-mukhi
hamara nam gulon mein shumar ho gaya tha
kahan KHabar thi ki ye marhala bhi mushkil hai
ki main to pahli hi koshish mein par ho gaya tha
pata chala ki koi dil tha dil ke andar bhi
kisi ka gham mein mere intishaar ho gaya tha
KHunuk se qatl hui ek sada-e-tir-kushi
bas itni baat thi mera shikar ho gaya tha
hazar haif ke mubham hui meri duniya
hazar shukr ki tu aashkar ho gaya tha
hazar haif ki pazhmurda ho gain aankhen
hazar shukr tera intizar ho gaya tha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.